door
jab tum door hote ho
thak kar choor hote ho
kaam pasand nahin par
karne ko majboor hote ho
tab mujhse dekha nahin jaata
pehchaan doosre ki phir jo
bewajah hi mashhoor hote ho
kahte ho vo pasand nahin par
usi ke maang ka sindoor hote ho
tab mujhse dekha nahin jaata
khoye ho tum apni duniya mein
logon ke liye maghroor hote ho
sochta hoon ki tum kuchh kaho
phir bhi jo masroof hote ho
tab mujhse dekha nahin jaata
"दूर"
जब तुम दूर होते हो
थक कर चूर होते हो
काम पसंद नहीं पर
करने को मजबूर होते हो
तब मुझसे देखा नहीं जाता
पहचान दूसरे की फिर जो
बेवजह ही मशहूर होते हो
कहते हो वो पसंद नहीं पर
उसी के मांग का सिंदूर होते हो
तब मुझसे देखा नहीं जाता
खोये हो तुम अपनी दुनिया में
लोगों के लिए मग़रूर होते हो
सोचता हूँ कि तुम कुछ कहो
फिर भी जो मसरूफ़ होते हो
तब मुझसे देखा नहीं जाता
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ritesh kumar
As you were reading Shohrat Shayari Shayari