mujh sa udaas tumko chehra nahin milega
tum dekhna mera ghar hansta nahin milega
hai chhodna mujhe to phir aaj faisla kar
behtar tujhe kabhi phir mauqa nahin milega
mujh ko gale laga kar jo ro raha yaqeenan
vo shakhs ab mujhe dobara nahin milega
meri kisi ghalatfahmi ke shikaar ho tum
jo jeet kar gaya ho haara nahin milega
ab aankh sookh kar ke bezaar ho gai hain
ab aankh mein hamaari dariya nahin milega
मुझ सा उदास तुमको चेहरा नहीं मिलेगा
तुम देखना मिरा घर हँसता नहीं मिलेगा
है छोड़ना मुझे तो फिर आज फ़ैसला कर
बेहतर तुझे कभी फिर मौक़ा नहीं मिलेगा
मुझ को गले लगा कर जो रो रहा यक़ीनन
वो शख़्स अब मुझे दोबारा नहीं मिलेगा
मेरी किसी ग़लतफ़हमी के शिकार हो तुम
जो जीत कर गया हो हारा नहीं मिलेगा
अब आँख सूख कर के बेज़ार हो गई हैं
अब आँख में हमारी दरिया नहीं मिलेगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Aankhein Shayari Shayari