ai dil-e-be-qaraar chup ho ja | ऐ दिल-ए-बे-क़रार चुप हो जा - Saghar Siddiqui

ai dil-e-be-qaraar chup ho ja
ja chuki hai bahaar chup ho ja

ab na aayenge roothne waale
deeda-e-ashk-baar chup ho ja

ja chuka kaarvaan-lala-o-gul
ud raha hai ghubaar chup ho ja

chhoot jaati hai phool se khushboo
rooth jaate hain yaar chup ho ja

ham faqeeron ka is zamaane mein
kaun hai gham-gusaar chup ho ja

haadson ki na aankh khul jaaye
hasrat-e-sogvaar chup ho ja

geet ki zarb se bhi ai saaghar
toot jaate hain taar chup ho ja

ऐ दिल-ए-बे-क़रार चुप हो जा
जा चुकी है बहार चुप हो जा

अब न आएँगे रूठने वाले
दीदा-ए-अश्क-बार चुप हो जा

जा चुका कारवान-लाला-ओ-गुल
उड़ रहा है ग़ुबार चुप हो जा

छूट जाती है फूल से ख़ुश्बू
रूठ जाते हैं यार चुप हो जा

हम फ़क़ीरों का इस ज़माने में
कौन है ग़म-गुसार चुप हो जा

हादसों की न आँख खुल जाए
हसरत-ए-सोगवार चुप हो जा

गीत की ज़र्ब से भी ऐ 'साग़र'
टूट जाते हैं तार चुप हो जा

- Saghar Siddiqui
0 Likes

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saghar Siddiqui

As you were reading Shayari by Saghar Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Saghar Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari