khoon apna ho ya paraaya ho | ख़ून अपना हो या पराया हो - Sahir Ludhianvi

khoon apna ho ya paraaya ho
nasl-e-aadam ka khoon hai aakhir
jang mashriq mein ho ki maghrib mein
amn-e-aalam ka khoon hai aakhir

bam gharo par giren ki sarhad par
rooh-e-taameer zakham khaati hai
khet apne jalen ki auron ke
zeest faaqon se tilmilati hai
tank aage badhein ki piche haten
kokh dharti ki baanjh hoti hai
fath ka jashn ho ki haar ka sog
zindagi mayyaton pe roti hai

jang to khud hi ek mas'ala hai
jang kya masailon ka hal degi
aag aur khoon aaj bakhshigi
bhook aur ehtiyaaj kal degi

is liye ai shareef insaano
jang taltee rahe to behtar hai
aap aur hum sabhi ke aangan mein
shamaajalti rahe to behtar hai

bartari ke suboot ki khaatir
khun bahaana hi kya zaroori hai
ghar ki taariqiyaan mitaane ko
ghar jalana hi kya zaroori hai
jang ke aur bhi to maidaan hain
sirf maidan-e-kisht-o-khoon hi nahin
haasil-e-zindagi khird bhi hai
haasil-e-zindagi junoon hi nahin

aao is teera-bakht duniya mein
fikr ki raushni ko aam karein
amn ko jin se taqwiyat pahunchen
aisi jangoon ka ehtimaam karein

jang vehshat se barbariyyat se
amn tahzeeb o irtiqa ke liye
jang marg-aafreen siyaasat se
amn insaan ki baqa ke liye

jang iflaas aur ghulaami se
amn behtar nizaam ki khaatir
jang bhatki hui qayaadat se
amn be-bas awaam ki khaatir
jang armaaye ke tasallut se
amn jamhoor ki khushi ke liye
jang jangoon ke falsafe ke khilaaf
amn pur-amn zindagi ke liye

ख़ून अपना हो या पराया हो
नस्ल-ए-आदम का ख़ून है आख़िर
जंग मशरिक़ में हो कि मग़रिब में
अम्न-ए-आलम का ख़ून है आख़िर

बम घरों पर गिरें कि सरहद पर
रूह-ए-तामीर ज़ख़्म खाती है
खेत अपने जलें कि औरों के
ज़ीस्त फ़ाक़ों से तिलमिलाती है
टैंक आगे बढ़ें कि पिछे हटें
कोख धरती की बाँझ होती है
फ़त्ह का जश्न हो कि हार का सोग
ज़िंदगी मय्यतों पे रोती है

जंग तो ख़ुद ही एक मसअला है
जंग क्या मसअलों का हल देगी
आग और ख़ून आज बख़्शेगी
भूक और एहतियाज कल देगी

इस लिए ऐ शरीफ़ इंसानो
जंग टलती रहे तो बेहतर है
आप और हम सभी के आँगन में
शमाजलती रहे तो बेहतर है

बरतरी के सुबूत की ख़ातिर
ख़ूँ बहाना ही क्या ज़रूरी है
घर की तारीकियाँ मिटाने को
घर जलाना ही क्या ज़रूरी है
जंग के और भी तो मैदाँ हैं
सिर्फ़ मैदान-ए-किश्त-ओ-ख़ूँ ही नहीं
हासिल-ए-ज़िंदगी ख़िरद भी है
हासिल-ए-ज़िंदगी जुनूँ ही नहीं

आओ इस तीरा-बख़्त दुनिया में
फ़िक्र की रौशनी को आम करें
अम्न को जिन से तक़्वियत पहुँचे
ऐसी जंगों का एहतिमाम करें

जंग वहशत से बरबरिय्यत से
अम्न तहज़ीब ओ इर्तिक़ा के लिए
जंग मर्ग-आफ़रीं सियासत से
अम्न इंसान की बक़ा के लिए

जंग इफ़्लास और ग़ुलामी से
अम्न बेहतर निज़ाम की ख़ातिर
जंग भटकी हुई क़यादत से
अम्न बे-बस अवाम की ख़ातिर
जंग सरमाए के तसल्लुत से
अम्न जम्हूर की ख़ुशी के लिए
जंग जंगों के फ़लसफ़े के ख़िलाफ़
अम्न पुर-अम्न ज़िंदगी के लिए

- Sahir Ludhianvi
1 Like

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahir Ludhianvi

As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi

Similar Writers

our suggestion based on Sahir Ludhianvi

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari