maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi | मैंने चांद और सितारों की तमन्ना की थी - Sahir Ludhianvi

maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
mujh ko raaton ki siyaahi ke siva kuch na mila

main vo naghma hoon jise pyaar ki mehfil na mili
vo musaafir hoon jise koi bhi manzil na mili

zakham paaye hain bahaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

kisi gesu kisi aanchal ka sahaara bhi nahin
raaste mein koi dhundla sa sitaara bhi nahin

meri nazaron ne nazaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

dil mein naakaam umeedon ke basere paaye
raushni lene ko nikla to andhere paaye

rang aur noor ke dhaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

meri raahon se juda ho gaeein raahen un ki
aaj badli nazar aati hain nigaahen un ki

jin se is dil ne sahaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

pyaar maanga to siskate hue armaan mile
chain chaaha to umdate hue toofaan mile

doobte dil ne kinaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

मैंने चांद और सितारों की तमन्ना की थी
मुझ को रातों की सियाही के सिवा कुछ न मिला

मैं वो नग़मा हूं जिसे प्यार की महफ़िल न मिली
वो मुसाफ़िर हूं जिसे कोई भी मंज़िल न मिली

ज़ख़्म पाए हैं बहारों की तमन्ना की थी
मैंने चांद और सितारों की तमन्ना की थी

किसी गेसू किसी आंचल का सहारा भी नहीं
रास्ते में कोई धुंदला सा सितारा भी नहीं

मेरी नज़रों ने नज़ारों की तमन्ना की थी
मैंने चांद और सितारों की तमन्ना की थी

दिल में नाकाम उमीदों के बसेरे पाए
रौशनी लेने को निकला तो अंधेरे पाए

रंग और नूर के धारों की तमन्ना की थी
मैंने चांद और सितारों की तमन्ना की थी

मेरी राहों से जुदा हो गईं राहें उन की
आज बदली नज़र आती हैं निगाहें उन की

जिन से इस दिल ने सहारों की तमन्ना की थी
मैंने चांद और सितारों की तमन्ना की थी

प्यार मांगा तो सिसकते हुए अरमान मिले
चैन चाहा तो उमडते हुए तूफ़ान मिले

डूबते दिल ने किनारों की तमन्ना की थी
मैंने चांद और सितारों की तमन्ना की थी

- Sahir Ludhianvi
6 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahir Ludhianvi

As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi

Similar Writers

our suggestion based on Sahir Ludhianvi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari