saathiyo main ne barson tumhaare liye | साथियो! मैं ने बरसों तुम्हारे लिए - Sahir Ludhianvi

saathiyo main ne barson tumhaare liye
chaand taaron bahaaron ke sapne bune
husn aur ishq ke geet gaata raha
aarzooon ke aivaan sajaata raha
main tumhaara mughanni tumhaare liye
jab bhi aaya naye geet laata raha
aaj lekin mere daaman-e-chaak mein
gard-e-raah-e-safar ke siva kuch nahin
mere barbat ke seene mein nagmon ka dam ghut gaya
taanein cheekh'on ke ambaar mein dab gai hain
aur geeton ke sur hichakiyaan ban gaye hain
main tumhaara mughanni hoon naghma nahin hoon
aur nagme ki takhleeq ka saaz-o-samaan
saathiyo aaj tum ne bhasm kar diya hai
aur main apna toota hua saaz thaame
sard laashon ke ambaar ko tak raha hoon
mere chaaron taraf maut ki vahshatein naachti hain
aur insaan ki haiwaaniyat jaag uthi hai
barbariyat ke khun-khaar ifreet
apne naapaak jabdon ko khole
khoon pee pee ke gurra rahe hain
bacche maon ki godon mein sahme hue hain
ismatein sar-barhana pareshaan hain
har taraf shor-e-aah-o-buka hai
aur main is tabaahi ke toofaan mein
aag aur khun ke haijaan mein
sar-nigoon aur shikasta makaanon ke malbe se pur raaston par
apne nagmon ki jholi pasaare
dar-b-dar phir raha hoon
mujh ko amn aur tahzeeb ki bheek do
mere geeton ki lay mera sur meri nay
mere majrooh honton ko phir saunp do
saathiyo main ne barson tumhaare liye
inqilaab aur bagaavat ke nagme alaape
ajnabi raaj ke zulm ki chaanv mein
sarfaroshi ke khwaabida jazbe ubhaare
aur us subh ki raah dekhi
jis mein is mulk ki rooh azaad ho
aaj zanjeer-e-mehkoomiyat kat chuki hai
aur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-dar
ajnabi qaum ke zulmat-afshan farere ki manhoos chaanv se azaad hain
khet sona ugalne ko bechain hain
vaadiyaan lahlahaane ko betaab hain
kohsaaron ke seene mein haijaan hai
sang aur khisht be-khwab wa bedaar hain
un ki aankhon mein taameer ke khwaab hain
un ke khwaabon ko takmeel ka roop do
mulk ki vaadiyaan ghaatiyan khetiyan
auratein bacchiyan
haath failaaye khairaat ki muntazir hain
in ko amn aur tahzeeb ki bheek do
maon ko un ke honton ki shaadaabiyan
nanhe bacchon ko un ki khushi bakhsh do
mulk ki rooh ko zindagi bakhsh do
mujh ko mera hunar meri lay bakhsh do
aaj saari fazaa hai bhikaari
aur main is bhikaari fazaa mein
apne nagmon ki jholi pasaare
dar-b-dar phir raha hoon
mujh ko phir mera khoya hua saaz do
main tumhaara mughanni tumhaare liye
jab bhi aaya naye geet laata rahoonga

साथियो! मैं ने बरसों तुम्हारे लिए
चाँद तारों बहारों के सपने बुने
हुस्न और इश्क़ के गीत गाता रहा
आरज़ूओं के ऐवाँ सजाता रहा
मैं तुम्हारा मुग़न्नी तुम्हारे लिए
जब भी आया नए गीत लाता रहा
आज लेकिन मिरे दामन-ए-चाक में
गर्द-ए-राह-ए-सफ़र के सिवा कुछ नहीं
मेरे बरबत के सीने में नग़्मों का दम घुट गया
तानें चीख़ों के अम्बार में दब गई हैं
और गीतों के सुर हिचकियाँ बन गए हैं
मैं तुम्हारा मुग़न्नी हूँ नग़्मा नहीं हूँ
और नग़्मे की तख़्लीक़ का साज़-ओ-सामाँ
साथियो! आज तुम ने भस्म कर दिया है
और मैं अपना टूटा हुआ साज़ थामे
सर्द लाशों के अम्बार को तक रहा हूँ
मेरे चारों तरफ़ मौत की वहशतें नाचती हैं
और इंसाँ की हैवानियत जाग उठी है
बरबरियत के ख़ूँ-ख़ार इफ़रीत
अपने नापाक जबड़ों को खोले
ख़ून पी पी के ग़ुर्रा रहे हैं
बच्चे माओं की गोदों में सहमे हुए हैं
इस्मतें सर-बरहना परेशान हैं
हर तरफ़ शोर-ए-आह-ओ-बुका है
और मैं इस तबाही के तूफ़ान में
आग और ख़ूँ के हैजान में
सर-निगूँ और शिकस्ता मकानों के मलबे से पुर रास्तों पर
अपने नग़्मों की झोली पसारे
दर-ब-दर फिर रहा हूँ
मुझ को अम्न और तहज़ीब की भीक दो
मेरे गीतों की लय मेरा सुर मेरी नय
मेरे मजरूह होंटों को फिर सौंप दो
साथियो! मैं ने बरसों तुम्हारे लिए
इंक़लाब और बग़ावत के नग़्मे अलापे
अजनबी राज के ज़ुल्म की छाँव में
सरफ़रोशी के ख़्वाबीदा जज़्बे उभारे
और उस सुब्ह की राह देखी
जिस में इस मुल्क की रूह आज़ाद हो
आज ज़ंजीर-ए-महकूमियत कट चुकी है
और इस मुल्क के बहर-ओ-बर बाम-ओ-दर
अजनबी क़ौम के ज़ुल्मत-अफ़्शाँ फरेरे की मनहूस छाँव से आज़ाद हैं
खेत सोना उगलने को बेचैन हैं
वादियाँ लहलहाने को बेताब हैं
कोहसारों के सीने में हैजान है
संग और ख़िश्त बे-ख़्वाब व बेदार हैं
उन की आँखों में तामीर के ख़्वाब हैं
उन के ख़्वाबों को तकमील का रूप दो
मुल्क की वादियाँ घाटियाँ खेतियाँ
औरतें बच्चियां
हाथ फैलाए ख़ैरात की मुंतज़िर हैं
इन को अम्न और तहज़ीब की भीक दो
माओं को उन के होंटों की शादाबियाँ
नन्हे बच्चों को उन की ख़ुशी बख़्श दो
मुल्क की रूह को ज़िंदगी बख़्श दो
मुझ को मेरा हुनर मेरी लय बख़्श दो
आज सारी फ़ज़ा है भिकारी
और मैं इस भिकारी फ़ज़ा में
अपने नग़्मों की झोली पसारे
दर-ब-दर फिर रहा हूँ
मुझ को फिर मेरा खोया हुआ साज़ दो
मैं तुम्हारा मुग़न्नी तुम्हारे लिए
जब भी आया नए गीत लाता रहूँगा

- Sahir Ludhianvi
2 Likes

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahir Ludhianvi

As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi

Similar Writers

our suggestion based on Sahir Ludhianvi

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari