maafi nahin vo de saka aankhon ko dekh kar
darta hoon main saja se gunaahon ko dekh kar
madhosh ho raha hoon nigaahon ko dekh kar
peene laga hoon zaam adaaon ko dekh kar
mujhko sikha rahe hain buzurgo kii baat vo
chidhte hain vo jo log buzurgo ko dekh kar
hairat sii ho rahi hai mujhe dekh kar ye sab
rukta nahin hai koii janazon ko dekh kar
aata nahin hai mujhko jahaan ka hunar magar
udne laga hoon main bhi parindon ko dekh kar
माफ़ी नहीं वो दे सका आँखों को देख कर
डरता हूँ मैं सजा से गुनाहों को देख कर
मदहोश हो रहा हूँ निगाहों को देख कर
पीने लगा हूँ ज़ाम अदाओं को देख कर
मुझको सिखा रहे हैं बुजुर्गों की बात वो
चिढ़ते हैं वो जो लोग बुजुर्गों को देख कर
हैरत सी हो रही है मुझे देख कर ये सब
रुकता नहीं है कोई ज़नाजों को देख कर
आता नहीं है मुझको जहाँ का हुनर मग़र
उड़ने लगा हूँ मैं भी परिन्दों को देख कर
As you were reading Shayari by salman khan "samar"
our suggestion based on salman khan "samar"
As you were reading undefined Shayari