har shay tujhi ko saamne laaye to kya karoon | हर शय तुझी को सामने लाए तो क्या करूँ

  - Shamim Jaipuri

har shay tujhi ko saamne laaye to kya karoon
har shay mein tu hi tu nazar aaye to kya karoon

tham tham ke aankh ashk bahaaye to kya karoon
rah rah ke teri yaad sataaye to kya karoon

ye to bataate jaao agar ja rahe ho tum
mujh ko tumhaari yaad sataaye to kya karoon

maana sukoon-nawaaz hai har shay bahaar mein
tere baghair chain na aaye to kya karoon

har she'r mein suna to gaya hoon main haal-e-dil
lekin tiri samajh mein na aaye to kya karoon

ab ishq se ziyaada gham-e-tark-e-ishq hai
ye aag bujh ke aur jalaae to kya karoon

dil ho gaya hai khoogar-e-bedad ishq mein
un kii wafa bhi raas na aaye to kya karoon

us sharmageen nazar ka tasavvur agar shameem
bijli dil-o-nazar pe giraaye to kya karoon

हर शय तुझी को सामने लाए तो क्या करूँ
हर शय में तू ही तू नज़र आए तो क्या करूँ

थम थम के आँख अश्क बहाए तो क्या करूँ
रह रह के तेरी याद सताए तो क्या करूँ

ये तो बताते जाओ अगर जा रहे हो तुम!
मुझ को तुम्हारी याद सताए तो क्या करूँ

माना सुकूँ-नवाज़ है हर शय बहार में
तेरे बग़ैर चैन न आए तो क्या करूँ

हर शे'र में सुना तो गया हूँ मैं हाल-ए-दिल
लेकिन तिरी समझ में न आए तो क्या करूँ

अब 'इश्क़ से ज़ियादा ग़म-ए-तर्क-ए-इश्क़ है
ये आग बुझ के और जलाए तो क्या करूँ

दिल हो गया है ख़ूगर-ए-बेदाद 'इश्क़ में
उन की वफ़ा भी रास न आए तो क्या करूँ

उस शर्मगीं नज़र का तसव्वुर अगर 'शमीम'
बिजली दिल-ओ-नज़र पे गिराए तो क्या करूँ

  - Shamim Jaipuri

Similar Writers

our suggestion based on Shamim Jaipuri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari