ai mere dost yahan dushmanon ka naam na le
dil unhin raaston pe kal kahin aaraam na le
may-kade mein gaya kam-zarf vo badnaam hua
zindagi doob na jaaye abhi se jaam na le
muddatein naam kamaane mein lagi hain mujhko
tu mera naam zamaane mein sar-e-aam na le
baat ban jaaye agar sabr rakha jaayega
be-rukhi se mere bande tu koii kaam na le
door manzil hai tujhe iski khabar rakhni thi
tere din hai nahin aaraam ke aaraam na le
ऐ मेरे दोस्त यहाँ दुश्मनों का नाम न ले
दिल उन्हीं रास्तों पे कल कहीं आराम न ले
मय-कदे में गया कम-ज़र्फ़ वो बदनाम हुआ
ज़िंदगी डूब न जाए अभी से जाम न ले
मुद्दतें नाम कमाने में लगी हैं मुझको
तू मेरा नाम ज़माने में सर-ए-आम न ले
बात बन जाए अगर सब्र रखा जाएगा
बे-रुख़ी से मेरे बंदे तू कोई काम न ले
दूर मंज़िल है तुझे इसकी ख़बर रखनी थी
तेरे दिन है नहीं आराम के आराम न ले
As you were reading Shayari by Shivpriya Nagpuri
our suggestion based on Shivpriya Nagpuri
As you were reading undefined Shayari