de diya tha mulk bhi khairaat mein | दे दिया था मुल्क भी ख़ैरात में

  - Shivpriya Nagpuri

de diya tha mulk bhi khairaat mein
aa gaye phir se wahi auqaat mein

tum bagaavat chahte ham aman-chain
fark bas itna hamaari zaat mein

hai khuda se bhi hamaara vaasta
ham wali ban jaayenge is raat mein

ye zara shohrat mili hai muft mein
kuchh nahin hai dam tumhaari baat mein

koii to isko zara samjhaaiye
chaand paagal hai nikalta raat mein

दे दिया था मुल्क भी ख़ैरात में
आ गए फिर से वही औक़ात में

तुम बग़ावत चाहते हम अम्न-चैन
फ़र्क बस इतना हमारी ज़ात में

है ख़ुदा से भी हमारा वास्ता
हम वली बन जाएँगे इस रात में

ये ज़रा शोहरत मिली है मुफ़्त में
कुछ नहीं है दम तुम्हारी बात में

कोई तो इसको ज़रा समझाइए
चाँद पागल है निकलता रात में

  - Shivpriya Nagpuri

More by Shivpriya Nagpuri

As you were reading Shayari by Shivpriya Nagpuri

Similar Writers

our suggestion based on Shivpriya Nagpuri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari