ghar se nikle ham bhi aadhi raat mein | घर से निकले हम भी आधी रात में

  - Shivpriya Nagpuri

ghar se nikle ham bhi aadhi raat mein
ab na aayenge kisi kii baat mein

gul khilenge kaanton ke bhi bazm mein
gham nihaan ho jaayega jazbaat mein

senkti maa choolhe par hi rotiyaan
lutf lene aaiye dehaat mein

kaaghazon kii kashtiyon se khelna
bheegne ka hai maza barsaat mein


baap-dada sang duniya jaanne

ghanton baithe sardiyon kii raat mein


ghar se nikle ham akela jo agar
maa kii rahti hain duaaein saath mein

घर से निकले हम भी आधी रात में
अब न आएँगे किसी की बात में

गुल खिलेंगे काँटों के भी बज़्म में
ग़म निहाँ हो जाएगा जज़्बात में

सेंकती माँ चूल्हे पर ही रोटियाँ
लुत्फ़ लेने आइए देहात में

काग़ज़ों की कश्तियों से खेलना
भीगने का है मज़ा बरसात में


बाप-दादा संग दुनिया जानने

घंटों बैठे सर्दियों की रात में


घर से निकले हम अकेले जो अगर
माँ की रहती हैं दुआएँ साथ में

  - Shivpriya Nagpuri

More by Shivpriya Nagpuri

As you were reading Shayari by Shivpriya Nagpuri

Similar Writers

our suggestion based on Shivpriya Nagpuri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari