us ko na khayal aaye to ham munh se kahein kya
vo bhi to mile ham se humeen us se milen kya
lashkar ko bachaayengi ye do-chaar safen kya
aur un mein bhi har shakhs ye kehta hai hamein kya
ye to sabhi kahte hain koi fikr na karna
ye koi bataata nahin ham ko ki karein kya
ghar se to chale aate hain bazaar ki jaanib
bazaar mein ye sochte firte hain ki len kya
aankhon ko kiye band pade rahte hain ham log
is par bhi to khwaabon se hain mahroom karein kya
do chaar nahin saikdon sher us pe kahe hain
is par bhi vo samjhe na to qadmon pe jhukein kya
jismaani taalluq pe ye sharmindagi kaisi
aapas mein badan kuchh bhi karein is se hamein kya
khwaabon se bhi milte nahin haalaat ke dar se
maathe se badi ho gaeein yaaro shikne kya
उस को न ख़याल आए तो हम मुँह से कहें क्या
वो भी तो मिले हम से हमीं उस से मिलें क्या
लश्कर को बचाएँगी ये दो-चार सफ़ें क्या
और उन में भी हर शख़्स ये कहता है हमें क्या
ये तो सभी कहते हैं कोई फ़िक्र न करना
ये कोई बताता नहीं हम को कि करें क्या
घर से तो चले आते हैं बाज़ार की जानिब
बाज़ार में ये सोचते फिरते हैं कि लें क्या
आँखों को किए बंद पड़े रहते हैं हम लोग
इस पर भी तो ख़्वाबों से हैं महरूम करें क्या
दो चार नहीं सैंकड़ों शेर उस पे कहे हैं
इस पर भी वो समझे न तो क़दमों पे झुकें क्या
जिस्मानी तअल्लुक़ पे ये शर्मिंदगी कैसी
आपस में बदन कुछ भी करें इस से हमें क्या
ख़्वाबों से भी मिलते नहीं हालात के डर से
माथे से बड़ी हो गईं यारो शिकनें क्या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shuja Khawar
our suggestion based on Shuja Khawar
As you were reading Haalaat Shayari Shayari