taarikh kya hai | "तारीख़ क्या है"

  - Tehzeeb Hafi

taarikh kya hai

subah roshan thi aur garmiyon ke thaka dene waale dinon me saari duniya se azaad ham machliyon ki tarah mailee nehron me gote lagaate
apne chehre pe keechad laga kar daraate thein ek doosre ko
kinaaro pe baithe huye hamne jo ahad ek doosre se liye thein
uske dhundle se nakshe aaj bhi mere dil par kahi naksh hain khuda roz suraj ko taiyaar karke hamaari taraf bhejta tha
aur ham saaya-e-kufr me ek dooje ke chehre ki taabindagi ki dua maangte thein
uska chehra kabhi meri aankhon se ojhal nahin ho saka uska chehra agar meri aankhon se hatta to mai kaayenaat me phaile huye
un mazaahir ki tafeem nazmon mein karta ki jis par bazid ne ye beemaar jinn ko khud apni tamannoon ki aatmaon ne
itna daraaya ke inko havas ke kaaf me mohabbat ki kiranoon ne choone ki koshish bhi ki to ye usse pare ho gaye
inke bas mein nahin ki ye mehsoos karte ik mohabbat bhare haath ka lams jisse inkaar kar karke inke badan khuradare ho gaye
ek din jo khuda aur mohabbat ki ik kist ko agle din par nahi taal sakte khuda aur mohabbat pe raayzni karte thakte nahin
aur is par bhi ye chahte hain ki mai inki marji ki nazme kahoon jinmein inki tashaffi ka samaan ho aadmi padhke hairaan ho
jisko ye ilm kahte hain us ilm ki baat ho falsafa deen taarikh saay samaaj aqeeda zabaan maashi mashaavaat insaan ke rang-o-aadaaton atwaar ijaad takleed aml intishaar nainan ki azmad ke qisse khitri balaaon se aur devataaon se jang sulhaanaama liye tez raftaar ghodon pe sahme sipaahi nazariya-e-samaavaat ke kaat ne kya kaha aur uske juraabon ke feiton ki dibbiyaan kimiyaan ke khazaanon ka munh kholne waala baabl kaun tha jisne paare ko patthar mein dhaala aur harshal ki aankhen jo bas aasmaanon pe rahti kya vo iglend ka mosin nahin
samandar ki takseer aur atlantic pe aabaadiyaan machliyaan qashtio jaisi kyun hain aur rafael ke haath par mitti kaise lagi ye sawaal
aur ye saari baate mere kis kaam ki pichhle das saal se uski awaaz tak main nahin sun saka aur ye poochte hain ki hegel ke nazdeek taarikh kya hai

"तारीख़ क्या है"

सुबह रोशन थी और गर्मियों के थका देने वाले दिनों मे सारी दुनिया से आज़ाद हम मछलियों की तरह मैली नेहरों मे गोते लगाते
अपने चेहरे पे कीचड़ लगा कर डराते थें एक दूसरे को
किनारो पे बैठे हुये हमने जो अहद एक दूसरे से लिये थें
उसके धुंधले से नक्शे आज भी मेरे दिल पर कहीं नक्श हैं ख़ुदा रोज़ सूरज को तैयार करके हमारी तरफ़ भेजता था
और हम साया-ए-कुफ्र मे एक दूजे के चेहरे की ताबिंदगी की दुआ माँगते थें
उसका चेहरा कभी मेरी आँखो से ओझल नहीं हो सका, उसका चेहरा अगर मेरी आँखो से हटता तो मै काएनात मे फैले हुये
उन मज़ाहिर की तफीम नज़्मों में करता, कि जिस पर बज़िद ने ये बीमार जिन्न को ख़ुद अपनी तमन्नों की आत्माओं ने
इतना डराया के इनको हवस के कफ़स मे मोहब्बत की किरणों ने छूने की कोशिश भी की तो ये उससे परे हो गये
इनके बस में नहीं कि ये महसूस करते इक मोहब्बत भरे हाथ का लम्स, जिससे इन्कार कर करके इनके बदन खुरदरे हो गये
एक दिन जो ख़ुदा और मोहब्बत की इक किस्त को अगले दिन पर नही टाल सकते, ख़ुदा और मोहब्बत पे रायज़नी करते थकते नहीं
और इस पर भी ये चाहते हैं कि मै इनकी मर्जी की नज़्मे कहूँ जिनमें इनकी तशफ़्फी का सामान हो, आदमी पढ़के हैरान हो
जिसको ये इल्म कहते हैं, उस इल्म की बात हो, फ़लसफ़ा, दीन, तारीख़, साय, समाज, अक़ीदा, ज़बान, माशी मशावात, इंसान के रंग-ओ-आदातों अतवार, ईजाद तकलीद, अम्ल इंतशार, नैनन की अज़मद के क़िस्से, खितरी बलाओं से और देवताओं से जंग, सुलहनामा लिये तेज़ रफ़्तार, घोड़ों पे सहमे सिपाही, नज़रिया-ए-समावात के काट ने क्या कहा? और उसके जुराबों के फ़ीतों की डिब्बीयाँ, किमीयाँ के ख़जानों का मुँह खोलने वाला बाबल कौन था जिसने पारे को पत्थर में ढाला और हरशल की आँखें जो बस आसमानों पे रहती, क्या वो इग्लेंड का मोसिन नहीं
समंदर की तक्सीर और एटलांटिक पे आबादियाँ, मछलियाँ क़श्तियो जैसी क्यों हैं? और राफेल के हाथ पर मिट्टी कैसे लगी? ये सवाल
और ये सारी बाते मेरे किस काम की पिछले दस साल से उसकी आवाज़ तक मैं नहीं सुन सका, और ये पूछते हैं कि हेगल के नज़दीक तारीख़ क्या है?

  - Tehzeeb Hafi

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari