nazm bebasi | नज़्म - बेबसी

  - Tehzeeb Hafi

nazm bebasi

tere saath guzare dinon kii
koii ek dhundli sii tasveer
jab bhi kabhi saamne aayegi
to hamein ek dua thaamne aayegi
budhape kii gahraaiyon mein utarte hue
teri belaus baanhon ke ghere nahin bhool paayenge ham
hamko tere tavassut se hanste hue jo mile the
vo chehre nahin bhool paayenge ham
tere pahluu mein lete huoon ka ajab qarb hai
jo raat bhar apni veeraan aankhon se tujhe takte the
aur tere shaadaab shaanon pe sir rakh ke
marne kii khwaahish mein jeete rahe

par tere lams ka koii ishaara mayassar nahin tha
magar is jahaan ka koii ek hissa
unhen tere bistar se behtar nahin tha
par mohabbat ko is sab se koii ilaaka nahin tha
ek dukh to ham bahaal ham apne seenon mein le ke marengay
ki hamne mohabbat ke daave kiye
tere maathe par sindoor taanka nahin

isse kya fark padta hai door hain tujhse ya paas hain
hamko koii aadmi to nahin ham to ehsaas hain
jo rahe to hamesha rahenge
aur gaye to mud kar waapis nahin aayenge

नज़्म - बेबसी

तेरे साथ गुज़रे दिनों की
कोई एक धुँदली सी तस्वीर
जब भी कभी सामने आएगी
तो हमें एक दुआ थामने आएगी,
बुढ़ापे की गहराइयों में उतरते हुए
तेरी बे-लौस बाँहों के घेरे नहीं भूल पाएँगे हम
हमको तेरे तवस्सुत से हँसते हुए जो मिले थे
वो चेहरे नहीं भूल पाएँगे हम
तेरे पहलू में लेटे हुओं का अजब क़र्ब है
जो रात भर अपनी वीरान आँखों से तुझे तकते थे
और तेरे शादाब शानों पे सिर रख के
मरने की ख़्वाहिश में जीते रहे

पर तेरे लम्स का कोई इशारा मयस्सर नहीं था
मगर इस जहाँ का कोई एक हिस्सा
उन्हें तेरे बिस्तर से बेहतर नहीं था
पर मोहब्बत को इस सब से कोई इलाका नहीं था
एक दुख तो हम बहरहाल हम अपने सीनों में ले के मरेंगे
कि हमने मोहब्बत के दावे किए
तेरे माथे पर सिंदूर टाँका नहीं

इससे क्या फ़र्क पड़ता है दूर हैं तुझसे या पास हैं
हमको कोई आदमी तो नहीं, हम तो एहसास हैं
जो रहे तो हमेशा रहेंगे
और गए तो मुड़ कर वापिस नहीं आएँगे

  - Tehzeeb Hafi

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari