tu kisi aur hi duniya mein mili thi mujhse | "तू किसी और ही दुनिया में मिली थी मुझसे" - Tehzeeb Hafi

tu kisi aur hi duniya mein mili thi mujhse

tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thi
dar raha tha ki kahi zakham na bhar jaayen mere
aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thi
aur hi tarah ki aankhen thi tere chehre par
tu kisi aur sitaare se chamak laai thi
teri awaaz hi sabkuchh thi mujhe monis-e-jaan
kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujhse
teri chup se hi yahi mehsoos kiya tha maine
jeet jayega tera gham kisi roz mujhse
shehar aawaazen lagata tha magar tu chup thi
ye taalluq mujhe khaata tha magar tu chup thi
wahi anjaam tha jo ishq ka aagaaz se hai
tujhko paaya bhi nahin tha ki tujhe khona tha
chali aati hai yahi rasm kai sadiyon se
yahi hota hai yahi hoga yahi hona tha
poochta rehta tha tujhse ki bata kya dukh hai
aur meri aankh mein aansu bhi nahin hote the
maine andaaze lagaye ke sabab kya hoga
par mere teer taraazu bhi nahin hote the
jiska dar tha mujhe maaloom pada logon se
phir vo khush-bakht palat aaya teri duniya mein
jiske jaane pe mujhe tune jagah di dil mein
meri qismat me hi jab khaali jagah likhi thi
tujhse shikwa bhi agar karta to kaise karta
mai vo sabza tha jise raund diya jaata hai
mai vo jungle tha jise kaat diya jaata hai
mai vo dard tha jise dastak ki kami khaati hai
mai vo manzil tha jahaan tooti sadak jaati hai
mai vo ghar tha jise aabaad nahin karta koi
mai to vo tha jise yaad nahin karta koi
khair is baat ko tu chhod bata kaisi hai
tune chaaha tha jise vo tere nazdeek to hai
kaun se gham ne tujhe chaat liya andar se
aaj kal phir se tu chup rahti hai sab theek to hai

"तू किसी और ही दुनिया में मिली थी मुझसे"

तू किसी और ही मौसम की महक लाई थी
डर रहा था कि कहीं ज़ख़्म न भर जाएँ मेरे
और तू मुट्ठियाँ भर-भर के नमक लाई थी
और ही तरह की आँखें थी तेरे चेहरे पर
तू किसी और सितारे से चमक लाई थी
तेरी आवाज़ ही सबकुछ थी मुझे मोनिस-ए-जाँ
क्या करुँ मैं कि तू बोली ही बहुत कम मुझसे
तेरी चुप से ही यही महसूस किया था मैंने
जीत जायेगा तेरा ग़म किसी रोज़ मुझसे
शहर आवाज़ें लगाता था मगर तू चुप थी
ये ताल्लुक मुझे खाता था मगर तू चुप थी
वही अंजाम था जो इश्क़ का आगाज़ से है
तुझको पाया भी नहीं था कि तुझे खोना था
चली आती है यही रस्म कई सदियों से
यही होता है, यही होगा, यही होना था
पूछता रहता था तुझसे कि “बता क्या दुख है?”
और मेरी आँख में आँसू भी नहीं होते थे
मैने अंदाज़े लगाये के सबब क्या होगा
पर मेरे तीर तराजू भी नहीं होते थे
जिसका डर था मुझे मालूम पड़ा लोगों से
फिर वो ख़ुश-बख़्त पलट आया तेरी दुनिया में
जिसके जाने पे मुझे तूने जगह दी दिल में
मेरी क़िस्मत मे ही जब खाली जगह लिखी थी
तुझसे शिकवा भी अगर करता तो कैसे करता
मै वो सब्ज़ा था जिसे रौंद दिया जाता है
मै वो जंगल था जिसे काट दिया जाता है
मै वो दर्द था जिसे दस्तक की कमी खाती है
मै वो मंज़िल था जहाँ टूटी सड़क जाती है
मै वो घर था जिसे आबाद नहीं करता कोई
मै तो वो था जिसे याद नहीं करता कोई
ख़ैर इस बात को तू छोड़, बता कैसी है?
तूने चाहा था जिसे, वो तेरे नज़दीक तो है?
कौन से ग़म ने तुझे चाट लिया अंदर से
आज कल फिर से तू चुप रहती है, सब ठीक तो है?

- Tehzeeb Hafi
129 Likes

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari