ye daur-e-nau-mubaarak farkhanda-akhtari ka
jamhooriyat ka aaghaaz anjaam qaisari ka
kya jaan-faza hai jalwa khursheed-e-khaawari ka
har ik shua-e-raksan misra hai anwari ka
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
bharat ki bartari mein kis ko kalaam hai ab
tha jo raheen-e-pasti gardoon-maqaam hai ab
jamhooriyat pe qaaim saara nizaam hai ab
aala hai ya hai adnaa ba-ehetiraam hai ab
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
sadiyon ke band toote azaad hogaye ham
qaid-e-giraan se chhoote dil-e-shaad ho gaye ham
be-khauf be-niyaaz-e-sayyaad ho gaye ham
phir bas gaya nasheeman aabaad hogaye ham
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
jo muztarib thi dil mein vo aarzoo bar aayi
takmeel-e-aarzoo ne dil ki khalish mitaai
jis mulk par ghulaami ban ban ke shaam chhaai
subh-e-masarrat us ko allah ne dikhaai
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
taabeer-e-khwab-e-'gandhi' tafseer-e-haal-e-'nehru'
azaad ki riyaazat sardaar ki tagaapu
rakhshan hai hurriyat ka zeba-nigaar dil-joo
taskin-e-qalb muslim aaraam-e-jaan-e-hindu
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
qurbaan hue jo is par roohen hain shaad un ki
ham jis se bahra-var hain vo hai muraad un ki
hai bas-ki sarfaroshi shaayaan-e-daad un ki
bharat ki is khushi mein shaamil hai yaad un ki
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
azaad ho gaya jab hindostaan hamaara
hai sood ke barabar har ik ziyaan hamaara
manzil pe aan pahuncha jab kaarwaan hamaara
kyun ho gubaar-e-manzil khaatir-nishaan hamaara
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
aivaan-e-farrukhi ki taameer-e-nau mubarak
aain-e-zindagi ki tadbeer-e-nau mubarak
har zarra-e-watan ko tanveer-e-nau mubarak
bharat ke har bashar ko tauqeer-e-nau mubarak
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
bharat ka azm hai ye taufeeq ai khuda de
duniya se een-o-aan ki tafriq ko mita de
amn-o-amaan se rahna har mulk ko sikha de
har qaum shukriye mein har saal ye sada de
roz-e-saeed aaya chhabbees january ka
daur-e-jadeed laaya bharat ki bartari ka
ये दौर-ए-नौ-मुबारक फ़र्ख़न्दा-अख़तरी का
जम्हूरियत का आग़ाज़ अंजाम क़ैसरी का
क्या जाँ-फ़ज़ा है जल्वा ख़ुर्शीद-ए-ख़ावरी का
हर इक शुआ-ए-रक़्साँ मिस्रा है अनवरी का
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
भारत की बरतरी में किस को कलाम है अब
था जो रहीन-ए-पस्ती गर्दूं-मक़ाम है अब
जम्हूरियत पे क़ाएम सारा निज़ाम है अब
आला है या है अदना बा-एहतिराम है अब
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
सदियों के बंद टूटे आज़ाद होगए हम
क़ैद-ए-गिराँ से छूटे दिल-ए-शाद हो गए हम
बे-ख़ौफ़ बे-नियाज़-ए-सय्याद हो गए हम
फिर बस गया नशेमन आबाद होगए हम
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
जो मुज़्तरिब थी दिल में वो आरज़ू बर आई
तकमील-ए-आरज़ू ने दिल की ख़लिश मिटाई
जिस मुल्क पर ग़ुलामी बन बन के शाम छाई
सुब्ह-ए-मसर्रत उस को अल्लाह ने दिखाई
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
ताबीर-ए-ख़्वाब-ए-'गाँधी' तफ़्सीर-ए-हाल-ए-'नेहरू'
'आज़ाद' की रियाज़त 'सरदार' की तगापू
रख़्शाँ है हुर्रियत का ज़ेबा-निगार दिल-जू
तस्कीन-ए-क़ल्ब मुस्लिम आराम-ए-जान-ए-हिन्दू
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
क़ुर्बां हुए जो इस पर रूहें हैं शाद उन की
हम जिस से बहरा-वर हैं वो है मुराद उन की
है बस-कि सरफ़रोशी शायान-ए-दाद उन की
भारत की इस ख़ुशी में शामिल है याद उन की
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
आज़ाद हो गया जब हिन्दोस्ताँ हमारा
है सूद के बराबर हर इक ज़ियाँ हमारा
मंज़िल पे आन पहुँचा जब कारवाँ हमारा
क्यूँ हो गुबार-ए-मंज़िल ख़ातिर-निशाँ हमारा
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
ऐवान-ए-फ़र्रुख़ी की तामीर-ए-नौ मुबारक
आईन-ए-ज़िंदगी की तदबीर-ए-नौ मुबारक
हर ज़र्रा-ए-वतन को तनवीर-ए-नौ मुबारक
भारत के हर बशर को तौक़ीर-ए-नौ मुबारक
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
भारत का अज़्म है ये तौफ़ीक़ ऐ ख़ुदा दे
दुनिया से ईन-ओ-आँ की तफ़रीक़ को मिटा दे
अम्न-ओ-अमाँ से रहना हर मुल्क को सिखा दे
हर क़ौम शुक्रिये में हर साल ये सदा दे
रोज़-ए-सईद आया छब्बीस जनवरी का
दौर-ए-जदीद लाया भारत की बरतरी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tilok Chand Mahroom
our suggestion based on Tilok Chand Mahroom
As you were reading Jalwa Shayari Shayari