tham zara waqt-e-ajal deedaar-e-jaan hone laga | थम ज़रा वक़्त-ए-अजल दीदार-ए-जाँ होने लगा

  - Ummeed KHwaja

tham zara waqt-e-ajal deedaar-e-jaan hone laga
aakhiri hichki pe koi meherbaan hone laga

kis sitamgar ne uda li yaad-e-maazi ki bayaaz
har gali har mod par qissa bayaan hone laga

jaane kis gul ne chaman ki hurmatein paamaal keen
mausam-e-fasl-e-bahaaraan bhi khizaan hone laga

dafn kar ke qabr mein jab ja chuke ahbaab dost
jo kabhi socha na tha vo imtihaan hone laga

dast-o-pa shal ho gaye hain quwwatein zaail hui
zindagaani ka safar aage ravaan hone laga

khwahishon ki chaah mein khusraan ke saude kiye
manfaat samjha jise aakhir ziyaan hone laga

koi wa'da aaj tak ifa nahin tum ne kiya
baat sacchi thi magar vo bad-gumaan hone laga

paanv ki aahat ne mujh ko gor mein chauka diya
hichkiyon ka saaz dil ka tarjumaan hone laga

kaisi khush-fahmi tumhein kis baat ka gharra umeed
aa gaye hain aqraba waqt-e-azaan hone laga

थम ज़रा वक़्त-ए-अजल दीदार-ए-जाँ होने लगा
आख़िरी हिचकी पे कोई मेहरबाँ होने लगा

किस सितमगर ने उड़ा ली याद-ए-माज़ी की बयाज़
हर गली हर मोड़ पर क़िस्सा बयाँ होने लगा

जाने किस गुल ने चमन की हुर्मतें पामाल कीं
मौसम-ए-फ़स्ल-ए-बहाराँ भी ख़िज़ाँ होने लगा

दफ़्न कर के क़ब्र में जब जा चुके अहबाब दोस्त
जो कभी सोचा न था वो इम्तिहाँ होने लगा

दस्त-ओ-पा शल हो गए हैं क़ुव्वतें ज़ाइल हुईं
ज़िंदगानी का सफ़र आगे रवाँ होने लगा

ख़्वाहिशों की चाह में ख़ुसरान के सौदे किए
मंफ़अत समझा जिसे आख़िर ज़ियाँ होने लगा

कोई वा'दा आज तक ईफ़ा नहीं तुम ने किया
बात सच्ची थी मगर वो बद-गुमाँ होने लगा

पाँव की आहट ने मुझ को गोर में चौंका दिया
हिचकियों का साज़ दिल का तर्जुमाँ होने लगा

कैसी ख़ुश-फ़हमी तुम्हें किस बात का ग़र्रा 'उमीद'
आ गए हैं अक़रबा वक़्त-ए-अज़ाँ होने लगा

  - Ummeed KHwaja

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed KHwaja

As you were reading Shayari by Ummeed KHwaja

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed KHwaja

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari