hai dil mein ek baat jise dar-b-dar kahein
har chand us mein jaan bhi jaaye magar kahein
mashshaat-gaan-e-kaakul-e-sham'-khayaal sab
kis ko hareef-e-jalwa-e-barq-e-nazar kahein
parchaaiyaan bhi chhod gaeein be-kasi mein saath
ab ai shab-e-hayaat kise hum-safar kahein
phaile ghubaar-e-rang-e-daroon to savaad-e-shaam
phoote lahu to mauj-e-khiraam-e-sehar kahein
juz harf-e-shauq kis ko kahein gulshan-e-samaa
juz naqsh-e-naaz kis ko nasheed-e-nazar kahein
toko unhen na laghzhish-e-guftaar dekh kar
ye log vo hain jin ko khuda-e-hunar kahein
urfi gadaa-e-shahr ki soorat agar mile
iqlim-e-shaayri ka use taajwar kahein
है दिल में एक बात जिसे दर-ब-दर कहें
हर चंद उस में जान भी जाए मगर कहें
मश्शात-गान-ए-काकुल-ए-शम्अ'-ख़याल सब
किस को हरीफ़-ए-जल्वा-ए-बर्क़-ए-नज़र कहें
परछाइयाँ भी छोड़ गईं बे-कसी में साथ
अब ऐ शब-ए-हयात किसे हम-सफ़र कहें
फैले ग़ुबार-ए-रंग-ए-दरूँ तो सवाद-ए-शाम
फूटे लहू तो मौज-ए-ख़िराम-ए-सहर कहें
जुज़ हर्फ़-ए-शौक़ किस को कहें गुलशन-ए-समा
जुज़ नक़्श-ए-नाज़ किस को नशीद-ए-नज़र कहें
टोको उन्हें न लग़्ज़िश-ए-गुफ़्तार देख कर
ये लोग वो हैं जिन को ख़ुदा-ए-हुनर कहें
'उर्फ़ी' गदा-ए-शहर की सूरत अगर मिले
इक़्लीम-ए-शाइरी का उसे ताजवर कहें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urfi Aafaqi
our suggestion based on Urfi Aafaqi
As you were reading Baaten Shayari Shayari