phir kya jo phoot phoot ke khilwat mein roiyie | फिर क्या जो फूट फूट के ख़ल्वत में रोइए

  - Urfi Aafaqi

phir kya jo phoot phoot ke khilwat mein roiyie
yaksar jahaan hi ko na jab tak duboiye

deewana-waar naachiye hansiye gulon ke saath
kaante agar milen to jigar mein chubhoiye

aansu jahaan bhi jis ki bhi aankhon mein dekhiye
moti samajh ke rishta-e-jaan mein piroiye

har subh ik jazeera-e-nau ki talash mein
saahil se door shorish-e-toofan ke hoiye

फिर क्या जो फूट फूट के ख़ल्वत में रोइए
यकसर जहान ही को न जब तक डुबोइए

दीवाना-वार नाचिये हँसिए गुलों के साथ
काँटे अगर मिलें तो जिगर में चुभोइए

आँसू जहाँ भी जिस की भी आँखों में देखिए
मोती समझ के रिश्ता-ए-जाँ में पिरोइए

हर सुब्ह इक जज़ीरा-ए-नौ की तलाश में
साहिल से दूर शोरिश-ए-तूफ़ाँ के होइए

  - Urfi Aafaqi

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urfi Aafaqi

As you were reading Shayari by Urfi Aafaqi

Similar Writers

our suggestion based on Urfi Aafaqi

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari