shehar mein jab janab hote the | शहर में जब जनाब होते थे

  - Viru Panwar

shehar mein jab janab hote the
kaante bhi tab gulaab hote the

hui us daur mein mohabbat jab
dilon pe bhi naqaab hote the

jin dinon ham pasand the uski
un dinon la-jawaab hote the

yun na kar ab hamein nazar andaaz
ham kabhi tera khwaab hote the

bas wahi aaye auraton ko pasand
mard jo kaamyaab hote the

us kii aankhon mein the vo manzar jo
dekhne se kharab hote the

शहर में जब जनाब होते थे
काँटे भी तब गुलाब होते थे

हुई उस दौर में मोहब्बत जब
दिलों पे भी नक़ाब होते थे

जिन दिनों हम पसंद थे उसकी
उन दिनों ला-जवाब होते थे

यूँ न कर अब हमें नज़र अंदाज़
हम कभी तेरा ख़्वाब होते थे

बस वही आए औरतों को पसंद
मर्द जो कामयाब होते थे

उस की आँखों में थे वो मंज़र जो
देखने से ख़राब होते थे

  - Viru Panwar

More by Viru Panwar

As you were reading Shayari by Viru Panwar

Similar Writers

our suggestion based on Viru Panwar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari