yun gaya vo shakhs meri zindagi se
jaise jaan jaati hai saanson kii kami se
aa gaye hain duniya mein ham jaldi shaayad
waqt peechhe chal raha hai yaa ghadi se
ibtida hi hai kahaani kii abhi to
lag gaye hain aap to rone abhi se
thi bhalaai khudkushi karne mein hi bas
kuchh nahin haasil hua is zindagi se
koii jeben bhar raha hai aur mere
zakhm bhi bharte nahin hain shayari se
यूँ गया वो शख़्स मेरी ज़िंदगी से
जैसे जाँ जाती है साँसों की कमी से
आ गए हैं दुनिया में हम जल्दी शायद
वक़्त पीछे चल रहा है याँ घड़ी से
इब्तिदा ही है कहानी की अभी तो
लग गए हैं आप तो रोने अभी से
थी भलाई ख़ुदकुशी करने में ही बस
कुछ नहीं हासिल हुआ इस ज़िंदगी से
कोई जेबें भर रहा है और मेरे
ज़ख़्म भी भरते नहीं हैं शायरी से
As you were reading Shayari by Viru Panwar
our suggestion based on Viru Panwar
As you were reading undefined Shayari