chehre roohon ki be-maaegi | चेहरे रूहों की बे-माएगी

  - Waheed Akhtar

chehre roohon ki be-maaegi
zehan ki teergi ke siyah aaine
sard aankhon ke tareek rozan mein dubka hua ik khala
ek sannaata honton ke basta makaan mein hai soya hua
rooh ko jehad-e-tahseel-e-zar kha gai
zehan ki raushni na-ummeedi ki zulmat mein dhundla gai
aankhen naakaamiyon ke khandar mein makaan ke tasavvur se aari hui
hont kashkol daryooza-gar ban ke lafzon ke ismat ki dookaan bane
aur ab kuchh nahin
aur ab kuchh nahin
ek deewaana gar khwaahish-e-zeest hai
khaal-o-khat dast-o-pa
seena-o-sar shikam aur zer-e-shikam
ek deewaana gar khwaahish-e-zeest a'zaa mein daudi hui
ek be-m'ani bekar apaahij havas-e-jism ke taane-baane ko thaame hue
sirf us ek lamhe ki aamad ka hai intizaar
jab ki zehnon ke roohon ke aaine
aankhon mein dubka khat
aur honton se lipta sukoot
ek baar khwaahish-e-zeest se kah saken
zeest ham par hamesha se ilzaam hai
ham na zinda rahe hain kabhi aur na zinda hain ab
ek deewana-gar khwaahish-e-marg hi thi hamaare liye zindagi

चेहरे रूहों की बे-माएगी
ज़ेहन की तीरगी के सियह आइने
सर्द आँखों के तारीक रौज़न में दुबका हुआ इक ख़ला
एक सन्नाटा होंटों के बस्ता मकाँ में है सोया हुआ
रूह को जेहद-ए-तहसील-ए-ज़र खा गई
ज़ेहन की रौशनी ना-उम्मीदी की ज़ुल्मत में धुँदला गई
आँखें नाकामियों के खंडर में मकाँ के तसव्वुर से आरी हुईं
होंट कश्कोल दरयूज़ा-गर बन के लफ़्ज़ों के इस्मत की दूकाँ बने
और अब कुछ नहीं
और अब कुछ नहीं
एक दीवाना गर ख़्वाहिश-ए-ज़ीस्त है
ख़ाल-ओ-ख़त दस्त-ओ-पा
सीना-ओ-सर शिकम और ज़ेर-ए-शिकम
एक दीवाना गर ख़्वाहिश-ए-ज़ीस्त आ'ज़ा में दौड़ी हुई
एक बे-मअ'नी बेकार अपाहिज हवस-ए-जिस्म के ताने-बाने को थामे हुए
सिर्फ़ उस एक लम्हे की आमद का है इंतिज़ार
जब कि ज़ेहनों के रूहों के आइने
आँखों में दुबका ख़त
और होंटों से लिपटा सुकूत
एक बार ख़्वाहिश-ए-ज़ीस्त से कह सकें
ज़ीस्त हम पर हमेशा से इल्ज़ाम है
हम न ज़िंदा रहे हैं कभी और न ज़िंदा हैं अब
एक दीवाना-गर ख़्वाहिश-ए-मर्ग ही थी हमारे लिए ज़िंदगी

  - Waheed Akhtar

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Akhtar

As you were reading Shayari by Waheed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari