"Khooni qilaa"
bahut hi sakht bahut hi taveel hai ye ghadi
is ahad-e-qahqari ka har qadam hai ek sadi
ye ahad jis pe kai naslon ki hai gard padi
ye peer-zaal ye qila kanaar aab-e-ravaan
bhadakte sholon ke maanind jis ka har gumbad
ye kangre hain ki hain bhattiyon ke angaare
jala ke rakh diye jin ki tapish ne laakhon makaan
ye hai alaamat-e-fistaaiyat girao se
hamaare bacchon ke school se hatao ise
ye khooni-qila ka faatak hai ya dahaan-e-jaheem
faseel-e-sang ibaarat hai khun ke dhabbon se
diye lahoon ke farozaan kiye hue har taq
hai jin ke saamne kheera tala o gauhar o seem
sada-e-raks nikalti hui jharokon se
kisi haseena-e-firaun ka mahal jaise
sutoon marmariin angadaai le ke neend mein choor
libaas-e-barhanagi mein nihaan qalo-patra
miyaan-e-neel koi laash dekh kar hans de
is ahad-e-qahqari ka har qadam hai ek sadi
bahut hi sakht bahut hi taveel hai ye ghadi
naddi ye hai ki zameen par hai ek laash padi
"ख़ूनी क़िला"
बहुत ही सख़्त बहुत ही तवील है ये घड़ी
इस अहद-ए-क़हक़री का हर क़दम है एक सदी
ये अहद जिस पे कई नस्लों की है गर्द पड़ी
ये पीर-ज़ाल ये क़िला कनार आब-ए-रवाँ
भड़कते शोलों के मानिंद जिस का हर गुम्बद
ये कंगरे हैं कि हैं भट्टियों के अँगारे
जला के रख दिए जिन की तपिश ने लाखों मकाँ
ये है अलामत-ए-फ़िस्ताइयत गिराओ से
हमारे बच्चों के स्कूल से हटाओ इसे
ये ख़ूनी-क़िला का फाटक है या दहान-ए-जहीम
फ़सील-ए-संग इबारत है ख़ूँ के धब्बों से
दिए लहूँ के फ़रोज़ाँ किए हुए हर ताक़
है जिन के सामने ख़ीरा तला ओ गौहर ओ सीम
सदा-ए-रक़्स निकलती हुई झरोंकों से
किसी हसीना-ए-फ़िरऔन का महल जैसे
सुतून मरमरीं अंगड़ाई ले के नींद में चूर
लिबास-ए-बरहनगी में निहाँ क़लो-पत्रा
मियान-ए-नील कोई लाश देख कर हँस दे
इस अहद-ए-क़हक़री का हर क़दम है एक सदी
बहुत ही सख़्त बहुत ही तवील है ये घड़ी
नद्दी ये है कि ज़मीं पर है एक लाश पड़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wamiq Jaunpuri
our suggestion based on Wamiq Jaunpuri
As you were reading Aahat Shayari Shayari