keede pedon ke jungle mein | कीड़े पेड़ों के जंगल में

  - Wazir Agha

keede pedon ke jungle mein
patton ki kaali deewarein
deewaron mein laakhon rozan
rozan aankhen hain jungle ki
wahshi aankhen hain jungle ki

tu raahi anjaan musaafir
jungle ka aaghaaz na aakhir
sab raaste napaaid hain us ke
sab raahen masdood saraasar
tu raahi jugnoo sa paikar
haar chuka jungle se lad kar
ab aansu ka diya jalaae
to gum-karda-raah musaafir
aisi paagal nazaron se kyun
ouj-e-falak ki peshaani par
jhilmil karte us jhoomar ko
ghur raha hai

कीड़े पेड़ों के जंगल में
पत्तों की काली दीवारें
दीवारों में लाखों रौज़न
रौज़न आँखें हैं जंगल की
वहशी आँखें हैं जंगल की

तू राही अंजान मुसाफ़िर
जंगल का आग़ाज़ न आख़िर
सब रस्ते नापैद हैं उस के
सब राहें मसदूद सरासर
तू राही जुगनू सा पैकर
हार चुका जंगल से लड़ कर
अब आँसू का दिया जलाए
तो गुम-कर्दा-राह मुसाफ़िर
ऐसी पागल नज़रों से क्यूँ
औज-ए-फ़लक की पेशानी पर
झिलमिल करते उस झूमर को
घूर रहा है

  - Wazir Agha

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari