pooch raha tha ik faqeer mujhse mayqade mein kya rakha hai | पूछ रहा था इक फ़क़ीर मुझसे, मयक़दे में क्या रखा है - Yagydutt Upadhyay

pooch raha tha ik faqeer mujhse mayqade mein kya rakha hai
maine bhi kah diya jaise aankhon mein ret ka dariya rakha hai

ye raat nahi kattee aasaani se to kise raqeeb bataayein
hamne hi to chaand ko apni fehrist sajaayein rakha hai

log kahte hai nashe mein jhoomta hai ik shakhs mandir ke aage
unhen kya khabar usne khuda ko apne dil mein basaaye rakha hai

hum to ghar se chale the madine ke raaste saaki
tumne ab bhi hame maykade mein uljhaaye rakha hai

mahz qaafiyon ki tukbandi se ghazlen nahi likhi jaati
azaad hamne dil mein kai dard ko dafnaaye rakha hai

पूछ रहा था इक फ़क़ीर मुझसे, मयक़दे में क्या रखा है
मैने भी कह दिया जैसे आंखों में रेत का दरिया रखा है

ये रात नही कटती आसानी से तो किसे रक़ीब बताएं
हमने ही तो चाँद को अपनी फ़ेहरिश्त सजाएं रखा है

लोग कहते है नशे में झूमता है इक शख्स मंदिर के आगे
उन्हें क्या ख़बर उसने खुदा को अपने दिल में बसाए रखा है

हम तो घर से चले थे मदीने के रास्ते साकी
तुमनें अब भी हमे मयकदे में उलझाए रखा है

महज़ क़ाफियो की तुकबंदी से गजलें नही लिखी जाती
"आज़ाद" हमने दिल में कई दर्द को दफनाए रखा है

- Yagydutt Upadhyay
4 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Yagydutt Upadhyay

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari