aata hai yaad mujh ko school ka zamaana | आता है याद मुझ को स्कूल का ज़माना

  - Zafar Kamali

aata hai yaad mujh ko school ka zamaana
vo doston ki sohbat vo qahqahe lagana

anwar aziz raajoo munnu ke saath mil kar
vo taaliyan bajana bandar ko munh chidaana

ro ro ke maangna vo ammi se roz paise
ja ja ke hotelon mein barfi malaai khaana

padhne ko jab bhi ghar par kahte the mere bhaai
karta tha dard-e-sar ka akshar hi main bahaana

milti nahin thi furqat din raat khelne se
yun raayegaan hua tha padhne ka vo zamaana

kaise kahoon kisi se ab kya hai haal mera
khaane ko mushkilon se milta hai ek daana

har ik qadam pe lagti hai thokron pe thokar
ja kar rahoon kahaan par milta nahin thikaana

afsar bane hain is dam mere hi ham-jamaat
un se haya ke maare padta hai munh chhupaana

baccho na tum samajhna hargiz ise kahaani
ye hai tumhaare haq mein ibarat ka taaziyaana

hoga bhala tumhaara sun lo zafar ki baatein
khelo zaroor lekin padhne mein dil lagana

आता है याद मुझ को स्कूल का ज़माना
वो दोस्तों की सोहबत वो क़हक़हे लगाना

अनवर अज़ीज़ राजू मुन्नू के साथ मिल कर
वो तालियाँ बजाना बंदर को मुँह चिड़ाना

रो रो के माँगना वो अम्मी से रोज़ पैसे
जा जा के होटलों में बर्फ़ी मलाई खाना

पढ़ने को जब भी घर पर कहते थे मेरे भाई
करता था दर्द-ए-सर का अक्सर ही मैं बहाना

मिलती नहीं थी फ़ुर्सत दिन रात खेलने से
यूँ राएगाँ हुआ था पढ़ने का वो ज़माना

कैसे कहूँ किसी से अब क्या है हाल मेरा
खाने को मुश्किलों से मिलता है एक दाना

हर इक क़दम पे लगती है ठोकरों पे ठोकर
जा कर रहूँ कहाँ पर मिलता नहीं ठिकाना

अफ़सर बने हैं इस दम मेरे ही हम-जमाअत
उन से हया के मारे पड़ता है मुँह छुपाना

बच्चो न तुम समझना हरगिज़ इसे कहानी
ये है तुम्हारे हक़ में इबरत का ताज़ियाना

होगा भला तुम्हारा सुन लो 'ज़फ़र' की बातें
खेलो ज़रूर लेकिन पढ़ने में दिल लगाना

  - Zafar Kamali

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Kamali

As you were reading Shayari by Zafar Kamali

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Kamali

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari