mat poochiye kya jeetne nikla tha main ghar se
mat poochiye kya haar ke lautaa hoon safar se
kuchh main bhi giran-gosh tha sun hi nahin paaya
kuchh waqt bhi guzra hai dabey paanv idhar se
kal raat bhi tha chaudahveen ka chaand falak par
kal raat bhi ik qaafila nikla tha khandar se
ik abr ka tukda hai parinda hai ki tu hai
ye kaun hai jo roz guzarta hai idhar se
kya jaane mujhe takht-e-sulaimaan kahaan le jaaye
jhapki hi nahin aankh meri khwaab ke dar se
dekha to kisi aankh mein hairat bhi nahin thi
khaali tha mera khel bhi har kaif-o-asar se
suraj ke ta'aqub mein hua vo bhi tah-e-aab
ik shakhs ziya saath tha hangaam-e-sehr se
मत पूछिए क्या जीतने निकला था मैं घर से
मत पूछिए क्या हार के लौटा हूँ सफ़र से
कुछ मैं भी गिराँ-गोश था सुन ही नहीं पाया
कुछ वक़्त भी गुज़रा है दबे पाँव इधर से
कल रात भी था चौदहवीं का चाँद फ़लक पर
कल रात भी इक क़ाफ़िला निकला था खंडर से
इक अब्र का टुकड़ा है परिंदा है कि तू है
ये कौन है जो रोज़ गुज़रता है इधर से
क्या जाने मुझे तख़्त-ए-सुलैमाँ कहाँ ले जाए
झपकी ही नहीं आँख मिरी ख़्वाब के डर से
देखा तो किसी आँख में हैरत भी नहीं थी
ख़ाली था मिरा खेल भी हर कैफ़-ओ-असर से
सूरज के तआ'क़ुब में हुआ वो भी तह-ए-आब
इक शख़्स 'ज़िया' साथ था हंगाम-ए-सहर से
As you were reading Shayari by Zia Farooqui
our suggestion based on Zia Farooqui
As you were reading undefined Shayari