na ab mujh ko sada do thak gaya main
tumhi jaao iraado thak gaya hoon
nahin utthi meri talwaar mujh se
utho ai shah-zaado thak gaya hoon
zara sa saath do gham ke safar mein
zara sa muskuraa do thak gaya hoon
tumhaare saath hoon phir bhi akela
rafeeqo raasta do thak gaya hoon
kahaan tak ek hi tamsil dekhoon
bas ab parda gira do thak gaya hoon
न अब मुझ को सदा दो थक गया मैं
तुम्ही जाओ इरादो थक गया हूँ
नहीं उट्ठी मिरी तलवार मुझ से
उठो ऐ शाह-ज़ादो थक गया हूँ
ज़रा सा साथ दो ग़म के सफ़र में
ज़रा सा मुस्कुरा दो थक गया हूँ
तुम्हारे साथ हूँ फिर भी अकेला
रफ़ीक़ो रास्ता दो थक गया हूँ
कहाँ तक एक ही तमसील देखूँ
बस अब पर्दा गिरा दो थक गया हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim
our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim
As you were reading Tanhai Shayari Shayari