soorat-e-mauj samundar mein kahaan se aaya | सूरत-ए-मौज समुंदर में कहाँ से आया - Liyaqat Ali Aasim

soorat-e-mauj samundar mein kahaan se aaya
main musaafir ki tarah ghar mein kahaan se aaya

khwaahish-e-khud-nigari sabz hui kis rut mein
aaina dasht-e-sikandar mein kahaan se aaya

sar dareechon se nikal aaye sada sunte hi
ye hunar tere gadaagar mein kahaan se aaya

markaz-e-gul tha so ab khaak nazar aata hai
ye taghayyur mere bistar mein kahaan se aaya

meri raatein bhi siyah din bhi andhere mere
rang ye mere muqaddar mein kahaan se aaya

kis ne kheecha meri tanhaai ka naqsha aasim
dasht is shehar ke manzar mein kahaan se aaya

सूरत-ए-मौज समुंदर में कहाँ से आया
मैं मुसाफ़िर की तरह घर में कहाँ से आया

ख़्वाहिश-ए-ख़ुद-निगरी सब्ज़ हुई किस रुत में
आईना दस्त-ए-सिकंदर में कहाँ से आया

सर दरीचों से निकल आए सदा सुनते ही
ये हुनर तेरे गदागर में कहाँ से आया

मरकज़-ए-गुल था सो अब ख़ाक नज़र आता है
ये तग़य्युर मिरे बिस्तर में कहाँ से आया

मेरी रातें भी सियह दिन भी अँधेरे मेरे
रंग ये मेरे मुक़द्दर में कहाँ से आया

किस ने खींचा मिरी तंहाई का नक़्शा 'आसिम'
दश्त इस शहर के मंज़र में कहाँ से आया

- Liyaqat Ali Aasim
0 Likes

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liyaqat Ali Aasim

As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim

Similar Writers

our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari