kya bataayein aaj kya sarkaar karna pad gaya | क्या बताएँ आज क्या सरकार करना पड़ गया

  - Shajar Abbas

kya bataayein aaj kya sarkaar karna pad gaya
vaar par dushman ke ham ko vaar karna pad gaya

kaam gulshan mein ajab ye yaar karna pad gaya
khaar ko gul aur gul ko khaar karna pad gaya

muflisi ne jab basera ghar ke aangan mein kiya
khud ka sauda bar sar-e-bazaar karna pad gaya

aur kya likhta main khat mein tujhko jaan-e-be wafa
dil ko teri yaad mein do chaar karna pad gaya

dil ke aangan mein ghutan mehsoos ki ehsaas ne
isliye dil be dar-o-deewar karna pad gaya

bar sar-e-mahfil jo maanga usne ulfat ka saboot
khoon se tar phool sa rukhsaar karna pad gaya

man banaakar aaye the izhaar karne ka sanam
aap ke inkaar par inkaar karna pad gaya

bar sar-e-dasht-e-junoon farhaad tha giryaa-kunaan
khud ko tere gham mein yun gham-khwaar karna pad gaya

zindagi ne maut se badhkar aziyat di mujhe
saltanat ka doosra haqdaar karna pad gaya

be-muravvat ki gali mein ghar muravvat ka shajar
khud banaakar khud hi ko mismar karna pad gaya

क्या बताएँ आज क्या सरकार करना पड़ गया
वार पर दुश्मन के हम को वार करना पड़ गया

काम गुलशन में अजब ये यार करना पड़ गया
ख़ार को गुल और गुल को ख़ार करना पड़ गया

मुफ़्लिसी ने जब बसेरा घर के आँगन में किया
ख़ुद का सौदा बर सर-ए-बाज़ार करना पड़ गया

और क्या लिखता मैं ख़त में तुझको जान-ए-बे वफ़ा
दिल को तेरी याद में दो चार करना पड़ गया

दिल के आँगन में घुटन महसूस की एहसास ने
इसलिए दिल बे दर-ओ-दीवार करना पड़ गया

बर सर-ए-महफ़िल जो माँगा उसने उलफ़त का सबूत
ख़ून से तर फूल सा रुख़सार करना पड़ गया

मन बनाकर आए थे इज़हार करने का सनम
आप के इन्कार पर इन्कार करना पड़ गया

बर सर-ए-दश्त-ए-जुनूँ फ़रहाद था गिर्या-कुनाँ
ख़ुद को तेरे ग़म में यूँ ग़म-ख़्वार करना पड़ गया

ज़िंदगी ने मौत से बढ़कर अज़ीयत दी मुझे
सल्तनत का दूसरा हक़दार करना पड़ गया

बे-मुरव्वत की गली में घर मुरव्वत का शजर
ख़ुद बनाकर ख़ुद ही को मिस्मार करना पड़ गया

  - Shajar Abbas

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari