yun na mil mujh se khafa ho jaise | यूँ न मिल मुझ से ख़फ़ा हो जैसे

  - Ehsan Danish

yun na mil mujh se khafa ho jaise
saath chal mauj-e-saba ho jaise

log yun dekh ke hans dete hain
tu mujhe bhool gaya ho jaise

ishq ko shirk ki had tak na badha
yun na mil ham se khuda ho jaise

maut bhi aayi to is naaz ke saath
mujh pe ehsaan kiya ho jaise

aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhi na pata ho jaise

hichakiyaan raat ko aati hi raheen
tu ne phir yaad kiya ho jaise

zindagi beet rahi hai daanish
ek be-jurm saza ho jaise

यूँ न मिल मुझ से ख़फ़ा हो जैसे
साथ चल मौज-ए-सबा हो जैसे

लोग यूँ देख के हँस देते हैं
तू मुझे भूल गया हो जैसे

इश्क़ को शिर्क की हद तक न बढ़ा
यूँ न मिल हम से ख़ुदा हो जैसे

मौत भी आई तो इस नाज़ के साथ
मुझ पे एहसान किया हो जैसे

ऐसे अंजान बने बैठे हो
तुम को कुछ भी न पता हो जैसे

हिचकियाँ रात को आती ही रहीं
तू ने फिर याद किया हो जैसे

ज़िंदगी बीत रही है 'दानिश'
एक बे-जुर्म सज़ा हो जैसे

  - Ehsan Danish

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari