agar na zohra-jabeenon ke darmiyaan guzre | अगर न ज़ोहरा-जबीनों के दरमियाँ गुज़रे - Jigar Moradabadi

agar na zohra-jabeenon ke darmiyaan guzre
to phir ye kaise kate zindagi kahaan guzre

jo tere aariz o gesu ke darmiyaan guzre
kabhi kabhi wahi lamhe bala-e-jaan guzre

mujhe ye vaham raha muddaton ki jurat-e-shauq
kahi na khaatir-e-maasoom par giran guzre

har ik maqaam-e-mohabbat bahut hi dilkash tha
magar hum ahl-e-mohabbat kashaan kashaan guzre

junoon ke sakht maraahil bhi teri yaad ke saath
haseen haseen nazar aaye jawaan jawaan guzre

meri nazar se tiri justuju ke sadqe mein
ye ik jahaan hi nahin saikdon jahaan guzre

hujoom-e-jalwa mein parwaaz-e-shauq kya kehna
ki jaise rooh sitaaron ke darmiyaan guzre

khata-muaaf zamaane se bad-gumaan ho kar
tiri wafa pe bhi kya kya humein gumaan guzre

mujhe tha shikwa-e-hijraan ki ye hua mehsoos
mere qareeb se ho kar vo na-gahaan guzre

rah-e-wafa mein ik aisa maqaam bhi aaya
ki hum khud apni taraf se bhi bad-gumaan guzre

khuloos jis mein ho shaamil vo daur-e-ishq-o-hawas
na raayegaan kabhi guzra na raayegaan guzre

usi ko kahte hain jannat usi ko dozakh bhi
vo zindagi jo haseenon ke darmiyaan guzre

bahut haseen manaazir bhi husn-e-fitrat ke
na jaane aaj tabeeyat pe kyun giran guzre

vo jin ke saaye se bhi bijliyaan larzatee theen
meri nazar se kuch aise bhi aashiyaan guzre

mera to farz chaman-bandee-e-jahaan hai faqat
meri bala se bahaar aaye ya khizaan guzre

kahaan ka husn ki khud ishq ko khabar na hui
rah-e-talab mein kuch aise bhi imtihaan guzre

bhari bahaar mein taaraaji-e-chaman mat pooch
khuda kare na phir aankhon se vo samaan guzre

koi na dekh saka jin ko vo dilon ke siva
muaamlaat kuch aise bhi darmiyaan guzre

kabhi kabhi to isee ek musht-e-khaak ke gird
tawaaf karte hue haft aasmaan guzre

bahut haseen sahi sohbaten gulon ki magar
vo zindagi hai jo kaanton ke darmiyaan guzre

abhi se tujh ko bahut naagawaar hain hamdam
vo haadsaat jo ab tak ravaan-davaan guzre

jinhen ki deeda-e-shaair hi dekh saka hai
vo inqilaab tire saamne kahaan guzre

bahut aziz hai mujh ko unhen kya yaad jigar
vo haadsaat-e-mohabbat jo na-gahaan guzre

अगर न ज़ोहरा-जबीनों के दरमियाँ गुज़रे
तो फिर ये कैसे कटे ज़िंदगी कहाँ गुज़रे

जो तेरे आरिज़ ओ गेसू के दरमियाँ गुज़रे
कभी कभी वही लम्हे बला-ए-जाँ गुज़रे

मुझे ये वहम रहा मुद्दतों कि जुरअत-ए-शौक़
कहीं न ख़ातिर-ए-मासूम पर गिराँ गुज़रे

हर इक मक़ाम-ए-मोहब्बत बहुत ही दिलकश था
मगर हम अहल-ए-मोहब्बत कशाँ कशाँ गुज़रे

जुनूँ के सख़्त मराहिल भी तेरी याद के साथ
हसीं हसीं नज़र आए जवाँ जवाँ गुज़रे

मिरी नज़र से तिरी जुस्तुजू के सदक़े में
ये इक जहाँ ही नहीं सैंकड़ों जहाँ गुज़रे

हुजूम-ए-जल्वा में परवाज़-ए-शौक़ क्या कहना
कि जैसे रूह सितारों के दरमियाँ गुज़रे

ख़ता-मुआफ़ ज़माने से बद-गुमाँ हो कर
तिरी वफ़ा पे भी क्या क्या हमें गुमाँ गुज़रे

मुझे था शिकवा-ए-हिज्राँ कि ये हुआ महसूस
मिरे क़रीब से हो कर वो ना-गहाँ गुज़रे

रह-ए-वफ़ा में इक ऐसा मक़ाम भी आया
कि हम ख़ुद अपनी तरफ़ से भी बद-गुमाँ गुज़रे

ख़ुलूस जिस में हो शामिल वो दौर-ए-इश्क़-ओ-हवस
न राएगाँ कभी गुज़रा न राएगाँ गुज़रे

उसी को कहते हैं जन्नत उसी को दोज़ख़ भी
वो ज़िंदगी जो हसीनों के दरमियाँ गुज़रे

बहुत हसीन मनाज़िर भी हुस्न-ए-फ़ितरत के
न जाने आज तबीअत पे क्यूँ गिराँ गुज़रे

वो जिन के साए से भी बिजलियाँ लरज़ती थीं
मिरी नज़र से कुछ ऐसे भी आशियाँ गुज़रे

मिरा तो फ़र्ज़ चमन-बंदी-ए-जहाँ है फ़क़त
मिरी बला से बहार आए या ख़िज़ाँ गुज़रे

कहाँ का हुस्न कि ख़ुद इश्क़ को ख़बर न हुई
रह-ए-तलब में कुछ ऐसे भी इम्तिहाँ गुज़रे

भरी बहार में ताराजी-ए-चमन मत पूछ
ख़ुदा करे न फिर आँखों से वो समाँ गुज़रे

कोई न देख सका जिन को वो दिलों के सिवा
मुआमलात कुछ ऐसे भी दरमियाँ गुज़रे

कभी कभी तो इसी एक मुश्त-ए-ख़ाक के गिर्द
तवाफ़ करते हुए हफ़्त आसमाँ गुज़रे

बहुत हसीन सही सोहबतें गुलों की मगर
वो ज़िंदगी है जो काँटों के दरमियाँ गुज़रे

अभी से तुझ को बहुत नागवार हैं हमदम
वो हादसात जो अब तक रवाँ-दवाँ गुज़रे

जिन्हें कि दीदा-ए-शाइर ही देख सकता है
वो इंक़िलाब तिरे सामने कहाँ गुज़रे

बहुत अज़ीज़ है मुझ को उन्हें क्या याद 'जिगर'
वो हादसात-ए-मोहब्बत जो ना-गहाँ गुज़रे

- Jigar Moradabadi
1 Like

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari