Meaning of

ba-wafa

बा-वफ़ा • با وفا

faithful; loyal

वफ़ादार; निष्ठावान

وفادار; مخلص

Persian

is tarah se na aazma mujh ko
meherbaan hai to de dua mujh ko

ek muddat ke baad mil paaya
ek achha sa raasta mujh ko

teri nafrat ke saanp ne ik din
aankh khulte hi das liya mujh ko

sab ki nazon men thii havas qaayam
kaun andar se dekhta mujh ko

aaj ik dam se ban gaya shaitaan
kal jo lagta tha devta mujh ko

saath us ke safar main karti hooñ
jo bhi milta hai haunsla mujh ko

ek azaad andaleeb hooñ main
zinda dekhe to kar rihaa mujh ko

2

Download Image

be-wafa jo ho ga.e unko bataana hai mujhe
jo na hota haunsla barbaad KHud ko kar liya

34

Download Image

ham se koi ta'alluq-e-khaatir to hai use
vo yaar ba-wafa na sahi be-vafa to hai

27

Download Image

shaad ghair-mumkin hai shikwa-e-butaan mujh se
main ne jis se ulfat ki us ko ba-wafa paaya

21

Download Image

lafzon ke baazigaaron se poochna ye bhi bashar
ba-wafa tabdeel ho kar be-wafa kaise hua

6

Download Image

ba-wafa ya be-vafaaii ki kahaanii
ishq men tum do mujhe koi nishaani

5

Download Image

jhoota hai saccha bhi to ho saka hai
chashma hai ba-wafa bhi to ho saka hai

baarish keval baadal ki mazboori hai
baadal ka gussa bhi to ho saka hai

4

Download Image

chalo maana ki ham hi be-vafa nikle
magar tum to mirii jaañ ba-wafa the na

4

Download Image

ba-wafa vo hai nahin aur be-wafa kah kaise doon main
to munaasib tha yahii KHaamosh ho jaaun so chup hoon

4

Download Image

main jise baa vafaa samajhta tha
yaar vo shaKHs bevafaa niklaa

2

Download Image

is tarah se na aazma mujh ko
meherbaan hai to de dua mujh ko

ek muddat ke baad mil paaya
ek achha sa raasta mujh ko

teri nafrat ke saanp ne ik din
aankh khulte hi das liya mujh ko

sab ki nazon men thii havas qaayam
kaun andar se dekhta mujh ko

aaj ik dam se ban gaya shaitaan
kal jo lagta tha devta mujh ko

saath us ke safar main karti hooñ
jo bhi milta hai haunsla mujh ko

ek azaad andaleeb hooñ main
zinda dekhe to kar rihaa mujh ko

2

Download Image

be-wafa jo ho ga.e unko bataana hai mujhe
jo na hota haunsla barbaad KHud ko kar liya

34

Download Image

The word 'ba-wafa' evokes a sense of unwavering loyalty and steadfastness. In poetry, it often symbolizes the ideal of true devotion, whether in love or friendship, where one's faithfulness is tested by time and circumstance.

Poets often use 'ba-wafa' to contrast with betrayal or infidelity. It is a term that elevates the beloved to an ideal state of purity and trust. The word can also be used to lament the rarity of such loyalty in the world.

In the realm of poetry, 'ba-wafa' remains a beacon of hope and idealism, a reminder of the virtues that bind human hearts.