is tarah se na aazma mujh ko
meherbaan hai to de dua mujh ko
ek muddat ke baad mil paaya
ek achha sa raasta mujh ko
teri nafrat ke saanp ne ik din
aankh khulte hi das liya mujh ko
sab ki nazon mein thi havas qaayam
kaun andar se dekhta mujh ko
aaj ik dam se ban gaya shaitaan
kal jo lagta tha devta mujh ko
saath us ke safar main karti hoon
jo bhi milta hai haunsla mujh ko
ek azaad andaleeb hoon main
zinda dekhe to kar rihaa mujh ko
इस तरह से न आज़मा मुझ को
मेहरबाँ है तो दे दुआ मुझ को
एक मुद्दत के बाद मिल पाया
एक अच्छा सा रास्ता मुझ को
तेरी नफ़रत के साँप ने इक दिन
आँख खुलते ही डस लिया मुझ को
सब की नज़रों में थी हवस क़ायम
कौन अंदर से देखता मुझ को
आज इक दम से बन गया शैतान
कल जो लगता था देवता मुझ को
साथ उस के सफ़र मैं करती हूँ
जो भी मिलता है बा-वफ़ा मुझ को
एक आज़ाद अंदलीब हूँ मैं
ज़िंदा देखे तो कर रिहा मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shampa andaliib
our suggestion based on shampa andaliib
As you were reading Khuda Shayari Shayari