manzil pe na pahunchen use rasta nahin kahte | मंज़िल पे न पहुँचे उसे रस्ता नहीं कहते

  - Nawaz Deobandi

manzil pe na pahunchen use rasta nahin kahte
do chaar qadam chalne ko chalna nahin kahte

ik ham hain ki ghairon ko bhi kah dete hain apna
ik tum ho ki apnon ko bhi apna nahin kahte

kam-himmati khatra hai samundar ke safar mein
toofaan ko ham dosto khatra nahin kahte

ban jaaye agar baat to sab kahte hain kya kya
aur baat bigad jaaye to kya kya nahin kahte

मंज़िल पे न पहुँचे उसे रस्ता नहीं कहते
दो चार क़दम चलने को चलना नहीं कहते

इक हम हैं कि ग़ैरों को भी कह देते हैं अपना
इक तुम हो कि अपनों को भी अपना नहीं कहते

कम-हिम्मती ख़तरा है समुंदर के सफ़र में
तूफ़ान को हम दोस्तो ख़तरा नहीं कहते

बन जाए अगर बात तो सब कहते हैं क्या क्या
और बात बिगड़ जाए तो क्या क्या नहीं कहते

  - Nawaz Deobandi

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nawaz Deobandi

As you were reading Shayari by Nawaz Deobandi

Similar Writers

our suggestion based on Nawaz Deobandi

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari