chand khwaabon ke ata kar ke ujaale mujh ko
kar diya waqt ne duniya ke hawaale mujh ko
jin ko suraj meri chaukhat se mila karta tha
ab vo khairaat mein dete hain ujaale mujh ko
main hoon kamzor magar itna bhi kamzor nahin
toot jaaye na kahin todne waale mujh ko
aur bhi log mere saath safar karte hain
kar na dena kisi manzil ke hawaale mujh ko
ye meri qabr mera aakhiri maskan hai naim
kis mein dam hai jo mere ghar se nikale mujh ko
चंद ख़्वाबों के अता कर के उजाले मुझ को
कर दिया वक़्त ने दुनिया के हवाले मुझ को
जिन को सूरज मेरी चौखट से मिला करता था
अब वो ख़ैरात में देते हैं उजाले मुझ को
मैं हूँ कमज़ोर मगर इतना भी कमज़ोर नहीं
टूट जाए न कहीं तोड़ने वाले मुझ को
और भी लोग मेरे साथ सफ़र करते हैं
कर न देना किसी मंज़िल के हवाले मुझ को
ये मेरी क़ब्र मेरा आख़िरी मस्कन है 'नईम'
किस में दम है जो मेरे घर से निकाले मुझ को
As you were reading Shayari by Naeem Akhtar Khadimi
our suggestion based on Naeem Akhtar Khadimi
As you were reading undefined Shayari