is jahaan ke vaaste khatra hai insaan | इस जहाँ के वास्ते ख़तरा है इंसान - Viru Panwar

is jahaan ke vaaste khatra hai insaan
sau darinde hain yahan pehla hai insaan

jaanwar banne ke laayiq bhi nahin jo
aise aison ko bana rakkha hai insaan

kehna banta to nahin par kah raha hoon
us khuda kii faaltu rachna hai insaan

us ko phir barbaad kar ke chhodta hai
jis bhi duniya mein qadam rakhta hai insaan

in darakhton se hawa se aur khuda se
apne matlab ke liye milta hai insaan

इस जहाँ के वास्ते ख़तरा है इंसान
सौ दरिंदे हैं यहाँ पहला है इंसान

जानवर बनने के लायक़ भी नहीं जो
ऐसे ऐसों को बना रक्खा है इंसान

कहना बनता तो नहीं पर कह रहा हूँ
उस ख़ुदा की फ़ालतू रचना है इंसान

उस को फिर बर्बाद कर के छोड़ता है
जिस भी दुनिया में क़दम रखता है इंसान

इन दरख़्तों से हवा से और ख़ुदा से
अपने मतलब के लिए मिलता है इंसान

- Viru Panwar
0 Likes

More by Viru Panwar

As you were reading Shayari by Viru Panwar

Similar Writers

our suggestion based on Viru Panwar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari