mere andar kuchh to chubhta hai zaroor | मेरे अंदर कुछ तो चुभता है ज़रूर

  - Meem Alif Shaz

mere andar kuchh to chubhta hai zaroor
khwaab ho ya dil ho toota hai zaroor

haath mere khaali hain to kya hua
kuchh to qismat mein bhi likkha hai zaroor

is tarah nazren churaata woh nahin
woh kisi guththi mein uljha hai zaroor

us ne mere raaz ko khola nahin
is zamaane ka farishta hai zaroor

baithe baithe khud hasi aane lage
ishq mein aisa bhi hota hai zaroor

मेरे अंदर कुछ तो चुभता है ज़रूर
ख़्वाब हो या दिल हो टूटा है ज़रूर

हाथ मेरे ख़ाली हैं तो क्या हुआ
कुछ तो क़िस्मत में भी लिक्खा है ज़रूर

इस तरह नज़रें चुराता वह नहीं
वह किसी गुतथी में उलझा है ज़रूर

उस ने मेरे राज़ को खोला नहीं
इस ज़माने का फ़रिश्ता है ज़रूर

बैठे बैठे ख़ुद हँसी आने लगे
इश्क़ में ऐसा भी होता है ज़रूर

  - Meem Alif Shaz

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari