ginti ke chaar din hayaat ke hain | गिनती के चार दिन हयात के हैं

  - Prit

ginti ke chaar din hayaat ke hain
baaki jitne bache be-zabaan ke hain

aapki maane bhi to ham kyunkar
aap saahib kab apni baat ke hain

naam mera likha hua hai par
rang mehndi mein aur haath ke hain

ye jo bistar pe laash ho rakhe hain
ye sabhi gul suhaagraat ke hain

vo bhale hain to honge mujhko kya
ye bure hain p meri zaat ke hain

गिनती के चार दिन हयात के हैं
बाक़ी जितने बचे वफ़ात के हैं

आपकी माने भी तो हम क्यूँकर
आप साहिब कब अपनी बात के हैं

नाम मेरा लिखा हुआ है पर
रंग मेहँदी में और हाथ के हैं

ये जो बिस्तर पे लाश हो रखे हैं
ये सभी गुल सुहागरात के हैं

वो भले हैं तो होंगे मुझको क्या
ये बुरे हैं प मेरी ज़ात के हैं

  - Prit

More by Prit

As you were reading Shayari by Prit

Similar Writers

our suggestion based on Prit

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari