jang jaari ho jab gharaane se | जंग जारी हो जब घराने से

  - Rahman Vaahid

jang jaari ho jab gharaane se
kya shikaayat karein zamaane se

haar baithe hain zindagi se ham
ek kirdaar ke nibhaane se

neend khulne ka waqt hota hai
khwaab aate hain tab suhaane se

har ghadi ham nashe mein rahte hain
mar na jaayen ye lat chhudaane se

meri baanhon mein jab nahin hai vo
kyun darein ham bhala zamaane se

har ghadi intizaar rehta hai
aa bhi jaao kisi bahaane se

hijr katata hai kis tarah waahid
pooch lena kisi deewane se

जंग जारी हो जब घराने से
क्या शिकायत करें ज़माने से

हार बैठे हैं ज़िंदगी से हम
एक किरदार के निभाने से

नींद खुलने का वक़्त होता है
ख़्वाब आते हैं तब सुहाने से

हर घड़ी हम नशे में रहते हैं
मर न जाएँ ये लत छुड़ाने से

मेरी बाँहों में जब नहीं है वो
क्यों डरें हम भला ज़माने से

हर घड़ी इंतिज़ार रहता है
आ भी जाओ किसी बहाने से

हिज्र कटता है किस तरह वाहिद
पूछ लेना किसी दिवाने से

  - Rahman Vaahid

More by Rahman Vaahid

As you were reading Shayari by Rahman Vaahid

Similar Writers

our suggestion based on Rahman Vaahid

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari