raushni charaagon se door rah nahin sakti | रौशनी चराग़ों से दूर रह नहीं सकती

  - Manohar Shimpi

raushni charaagon se door rah nahin sakti
hamnasheen qareebi ka shok sah nahin sakti

kaun saanp rakhta hai aasteen mein yaaro
aise dost ko koii baat kah nahin sakti

vaasta rahe gahra jab kisi ke gham ka hi
aansuon ko dhokar bhi aankh bah nahin sakti

aur naam aayenge dekh haadise ko tu
kaun log honge vo main ye kah nahin sakti

neev hi agar achhi jab rahe manohar tab
koii bhi imarat phir aise dhah nahin sakti

रौशनी चराग़ों से दूर रह नहीं सकती
हम-नशीं क़रीबी का शोक सह नहीं सकती

कौन साँप रखता है आस्तीन में यारो
ऐसे दोस्त को कोई बात कह नहीं सकती

वास्ता रहे गहरा जब किसी के ग़म का ही
आँसुओं को धोकर भी आँख बह नहीं सकती

और नाम आएँगे देख हादिसे को तू
कौन लोग होंगे वो मैं ये कह नहीं सकती

नींव ही अगर अच्छी जब रहे 'मनोहर' तब
कोई भी इमारत फिर ऐसे ढह नहीं सकती

  - Manohar Shimpi

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari