meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke ba'ad
par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya
raahbar mera bana gumraah karne ke liye
mujh ko seedhe raaste se dar-b-dar us ne kiya
shehar mein vo mo'tabar meri gawaahi se hua
phir mujhe is shehar mein naa-mo'tabar us ne kiya
shehar ko barbaad kar ke rakh diya us ne muneer
shehar par ye zulm mere naam par us ne kiya
मेरी सारी ज़िंदगी को बे-समर उस ने किया
उम्र मेरी थी मगर उस को बसर उस ने किया
मैं बहुत कमज़ोर था इस मुल्क में हिजरत के बा'द
पर मुझे इस मुल्क में कमज़ोर-तर उस ने किया
राहबर मेरा बना गुमराह करने के लिए
मुझ को सीधे रास्ते से दर-ब-दर उस ने किया
शहर में वो मो'तबर मेरी गवाही से हुआ
फिर मुझे इस शहर में ना-मो'तबर उस ने किया
शहर को बरबाद कर के रख दिया उस ने 'मुनीर'
शहर पर ये ज़ुल्म मेरे नाम पर उस ने किया
As you were reading Shayari by Muneer Niyazi
our suggestion based on Muneer Niyazi
As you were reading undefined Shayari