garmi-e-hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
ham charaagon kii tarah shaam se jal jaate hain
sham'a jis aag mein jaltee hai numaaish ke liye
ham usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
bach nikalte hain agar aatish-e-sayyaal se ham
shola-e-ariz-e-gulfam se jal jaate hain
khud-numaai to nahin shewa-e-arbaab-e-wafa
jin ko jalna ho vo aaraam se jal jaate hain
rabt-e-baaham pe hamein kya na kahenge dushman
aashna jab tire paighaam se jal jaate hain
jab bhi aata hai mera naam tire naam ke saath
jaane kyun log mere naam se jal jaate hain
गर्मी-ए-हसरत-ए-नाकाम से जल जाते हैं
हम चराग़ों की तरह शाम से जल जाते हैं
शम्अ' जिस आग में जलती है नुमाइश के लिए
हम उसी आग में गुमनाम से जल जाते हैं
बच निकलते हैं अगर आतिश-ए-सय्याल से हम
शोला-ए-आरिज़-ए-गुलफ़ाम से जल जाते हैं
ख़ुद-नुमाई तो नहीं शेवा-ए-अरबाब-ए-वफ़ा
जिन को जलना हो वो आराम से जल जाते हैं
रब्त-ए-बाहम पे हमें क्या न कहेंगे दुश्मन
आश्ना जब तिरे पैग़ाम से जल जाते हैं
जब भी आता है मिरा नाम तिरे नाम के साथ
जाने क्यूँ लोग मिरे नाम से जल जाते हैं
As you were reading Shayari by Qateel Shifai
our suggestion based on Qateel Shifai
As you were reading undefined Shayari