mar na jaayen kahin aziyyat se
zindagi pesh aa mohabbat se
ashk aankhon se yun nikalte hain
nadiyaan nikli hain jaise parvat se
aadmi se nahin koii matlab
hoti hai shaadi ab to daulat se
kaam aata nahin hoon isliye hi
yaad karte hain sab zaroorat se
gham bhi bhejo ki shayari mein ab
kaam chalta nahin hai vehshat se
ye nateeja hai us ko chaahne ka
mujhko nafrat hai ab mohabbat se
मर न जाएँ कहीं अज़िय्यत से
ज़िंदगी पेश आ मोहब्बत से
अश्क आँखों से यूँ निकलते हैं
नदियाँ निकली हैं जैसे पर्वत से
आदमी से नहीं कोई मतलब
होती है शादी अब तो दौलत से
काम आता नहीं हूँ इसलिए ही
याद करते हैं सब ज़रूरत से
ग़म भी भेजो कि शायरी में अब
काम चलता नहीं है वहशत से
ये नतीजा है उस को चाहने का
मुझको नफ़रत है अब मोहब्बत से
As you were reading Shayari by Viru Panwar
our suggestion based on Viru Panwar
As you were reading undefined Shayari