us kii khushboo ne bhi bikhrna hai | उस की ख़ुश्बू ने भी बिखरना है

  - Viru Panwar

us kii khushboo ne bhi bikhrna hai
rang rangon ka bhi utarna hai

jaun ka kaam poora karna hai
uski khushboo mein rang bharna hai

dhamkiyaan khudkushi kii de kar ke
zindagi se mazaak karna hai

ho to saktaa nahin magar phir bhi
waqt achha ghadi mein bharna hai

peechhe se us ko shak ho jaata hai
uska aage se peecha karna hai

maut ka koii aitibaar nahin
mujh ko to khudkushi se marna hai

उस की ख़ुश्बू ने भी बिखरना है
रंग रंगों का भी उतरना है

जौन का काम पूरा करना है
उसकी ख़ुश्बू में रंग भरना है

धमकियाँ ख़ुदकुशी की दे कर के
ज़िंदगी से मज़ाक करना है

हो तो सकता नहीं मगर फिर भी
वक़्त अच्छा घड़ी में भरना है

पीछे से उस को शक हो जाता है
उसका आगे से पीछा करना है

मौत का कोई ऐतिबार नहीं
मुझ को तो ख़ुदकुशी से मरना है

  - Viru Panwar

More by Viru Panwar

As you were reading Shayari by Viru Panwar

Similar Writers

our suggestion based on Viru Panwar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari