yahan dhyaan sab ka udhar hota hai
ki vo khoobsurat jidhar hota hai
tere husn se ziyaada logon pe ab
meri saadgi ka asar hota hai
nahin hota hairaan dil ye mera
use dekhte hi magar hota hai
tere shehar mein mere sheron ka craze
pata kar zara kis qadar hota hai
hua jaun ko padh ke maaloom ye
ki khushboo ka bhi ik color hota hai
mere chehre ko dekh kar soch le
judaai ka kitna asar hota hai
यहाँ ध्यान सब का उधर होता है
कि वो ख़ूबसूरत जिधर होता है
तेरे हुस्न से ज़्यादा लोगों पे अब
मेरी सादगी का असर होता है
नहीं होता हैरान दिल ये मेरा
उसे देखते ही मगर होता है
तेरे शहर में मेरे शेरों का क्रेज़
पता कर ज़रा किस क़दर होता है
हुआ जौन को पढ़ के मालूम ये
कि ख़ुशबू का भी इक कलर होता है
मेरे चेहरे को देख कर सोच ले
जुदाई का कितना असर होता है
As you were reading Shayari by Viru Panwar
our suggestion based on Viru Panwar
As you were reading undefined Shayari