na-ummeedi mojize ke bhes mein aaunga main
zindagi mein tajarbe ke bhes mein aaunga main
tum ko apne pyaar ka sandesh dene ke liye
gaav tere daakiye ke bhes mein aaunga main
lena hi hoga tumhein apni zabaan se mera naam
jab ghazal mein qaafiye ke bhes mein aaunga main
tum ko ye dikhlane tum sab se haseen ho duniya mein
tum se milne aaine ke bhes mein aaunga main
kar nahin paaye kabhi jo khudkushi un ke liye
maut ban ke haadse ke bhes mein aaunga mai
ना-उमीदी मोजिज़े के भेस में आऊँगा मैं
ज़िंदगी में तजरबे के भेस में आऊंगा मैं
तुम को अपने प्यार का संदेश देने के लिए
गाँव तेरे डाकिये के भेस में आऊँगा मैं
लेना ही होगा तुम्हें अपनी ज़बाँ से मेरा नाम
जब ग़ज़ल में क़ाफ़िए के भेस में आऊँगा मैं
तुम को ये दिखलाने तुम सब से हसीं हो दुनिया में
तुम से मिलने आइने के भेस में आऊँगा मैं
कर नहीं पाए कभी जो ख़ुदकुशी उन के लिए
मौत बन के हादसे के भेस में आऊँगा मै
As you were reading Shayari by Viru Panwar
our suggestion based on Viru Panwar
As you were reading undefined Shayari