vo haqeeqat bhi khwaab kehta hai | वो हक़ीक़त भी ख़्वाब कहता है

  - Arohi Tripathi

vo haqeeqat bhi khwaab kehta hai
lafz-e-awwal kitaab kehta hai

jab se harkat sooni hai saanson kii
tab se hardam shabaab kehta hai

baat hogi agar adaaon kii
husn goya azaab kehta hai

hont par hont usne rakkha phir
lab ko tab se gulaab kehta hai

meri har baat achhi lagti hai
is jahaan ko kharab kehta hai

jab kabhi vo qareeb aata hai
jaan hatao naqaab kehta hai

jab se haasil kiya mohabbat ko
khud ko ishq-e-nisaab kehta hai

sher achha bura padhoon jo bhi
vo faqat laajwaab kehta hai

वो हक़ीक़त भी ख़्वाब कहता है
लफ़्ज़-ए-अव्वल किताब कहता है

जब से हरकत सुनी है साँसों की
तब से हरदम शबाब कहता है

बात होगी अगर अदाओं की
हुस्न गोया अज़ाब कहता है

होंठ पर होंठ उसने रक्खा फिर
लब को तब से गुलाब कहता है

मेरी हर बात अच्छी लगती है
इस जहाँ को ख़राब कहता है

जब कभी वो क़रीब आता है
जाँ हटाओ नक़ाब कहता है

जब से हासिल किया मोहब्बत को
खु़द को इश्क़-ए-निसाब कहता है

शेर अच्छा बुरा पढूँ जो भी
वो फ़क़त लाजवाब कहता है

  - Arohi Tripathi

More by Arohi Tripathi

As you were reading Shayari by Arohi Tripathi

Similar Writers

our suggestion based on Arohi Tripathi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari