qarzaa jaldi utar jaaye to hai kamaal
saal yoonhi guzar jaaye to hai kamaal
woh hazaaron ka dil tod kar baithi hai
ishq mera thehar jaaye to hai kamaal
woh sharaabi hai lekin azaan sunta hai
rooh us kii sanwar jaaye to hai kamaal
koii beemaari aaye to jam jaati hai
jald hi woh bikhar jaaye to hai kamaal
us ne lafzon se dil mein kiye itne zakhm
maut se pehle bhar jaaye to hai kamaal
maut vaise to zaabit hai har waqt mein
ek do din thehar jaaye to hai kamaal
क़र्ज़ा जल्दी उतर जाए तो है कमाल
साल यूँही गुज़र जाए तो है कमाल
वह हज़ारों का दिल तोड़ कर बैठी है
इश्क़ मेरा ठहर जाए तो है कमाल
वह शराबी है लेकिन अज़ाँ सुनता है
रूह उस की सँवर जाए तो है कमाल
कोई बीमारी आए तो जम जाती है
जल्द ही वह बिखर जाए तो है कमाल
उस ने लफ़्ज़ों से दिल में किए इतने ज़ख़्म
मौत से पहले भर जाए तो है कमाल
मौत वैसे तो ज़ाबित है हर वक़्त में
एक दो दिन ठहर जाए तो है कमाल
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading undefined Shayari