main bura hoon aur hoon majboor aadat ke liye | मैं बुरा हूँ और हूँ मजबूऱ आदत के लिए

  - Prashant Sitapuri

main bura hoon aur hoon majboor aadat ke liye
door rahiye aap bhi apni sharaafat ke liye

hai agar mujhse gila to aazma ke dekh le
tu kahe to jaan haazir hai muhabbat ke liye

tere aage khoobsurat chaand bhi feeka pade
aur kya taarif teri yaar soorat ke liye

aadaton se yaar gar taaseer milti hai yahan
khud ko bhi barbaad kar loon main bhi aadat ke liye

mar ke hi to aadmi banta bada hai aaj so
ham bhi dekho mar rahe hain thodi izzat ke liye

bewafa hain aap fir bhi dil lagaaya aapse
mil rahi hai isliye bhi daad himmat ke liye

ghar mein kuchh bhi bol kar chal jaayega to kaam par
bheed mein kya bolna hai seekh gairat ke liye

ye shikaayat mujhko hai kyun doharaapan hai yahan
is jahaan mein qaayde kyun sirf aurat ke liye

मैं बुरा हूँ और हूँ मजबूऱ आदत के लिए
दूर रहिये आप भी अपनी शराफत के लिए

है अगर मुझसे गिला तो आज़मा के देख ले
तू कहे तो जान हाज़िर है मुहब्बत के लिए

तेरे आगे ख़ूबसूरत चाँद भी फीका पड़े
और क्या तारीफ़ तेरी यार सूरत के लिए

आदतों से यार ग़र तासीर मिलती है यहाँ
ख़ुद को भी बर्बाद कर लूँ मैं भी आदत के लिए

मर के ही तो आदमी बनता बड़ा है आज , सो
हम भी देखो मर रहे हैं थोड़ी इज्जत के लिए

बे-वफ़ा हैं, आप फ़िर भी दिल लगाया आपसे
मिल रही है इसलिए भी दाद हिम्मत के लिए

घर में कुछ भी बोल कर चल जाएगा तो काम पर
भीड़ में क्या बोलना है सीख गैरत के लिए

ये शिकायत मुझको है क्यूँ दोहरापन है यहाँ
इस जहाँ में क़ायदे क्यूँ सिर्फ़ औरत के लिए

  - Prashant Sitapuri

More by Prashant Sitapuri

As you were reading Shayari by Prashant Sitapuri

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Sitapuri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari